SEARCH RESULTS
Showing search results for "hayya-alal-falaah"
Sher MATCHES FOR "hayya-alal-falaah"
Sher
hayaat ho ki ajal sab se kaam le Gaafil
ki muKHtasar bhii hai kaar-e-jahaa.n daraaz bhii hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
fikr-e-fardaa Gam-e-imroz Gam-e-maut-o-hayaat
aadmii kyaa hu.aa majmuu.a-e-aalaam hu.aa
Mehr Nizami Merathi
Sher
isii qadar hai hayaat o ajal ke biich kaa farq
ye ek dhuup kaa dariyaa vo ik kinaara-e-shaam
Ain Tabish
Sher
bol kis mo.D pe huu.n kashmakash-e-marg-o-hayaat
aise aalam me.n kahaa.n chho.D diyaa hai mujh ko
Mubarak Shamim
Sher
falak ne bhii na Thikaanaa kahii.n diyaa ham ko
makaa.n kii niiv zamii.n se haTaa ke rakkhii thii
Zafar Gorakhpuri
Sher
shajar ne puuchhaa ki tujh me.n ye kis kii KHushbuu hai
havaa-e-shaam-e-alam ne kahaa udaasii kii
Rehman Faris
Sher
nukta yahii azal se pa.Dhaayaa gayaa hame.n
havvaa baraa.e-husn hai aadam baraa.e-ishq
Rana Amir Liyaqat
Sher
daulat kaa falak to.D ke aalam kii jabii.n par
mazduur kii qismat ke sitaare nikal aa.e
Nushur Wahidi
Sher
saaraa aalam hama-tan-gosh hu.aa jaataa hai
saaz-e-hastii hai ki KHaamosh hu.aa jaataa hai
Syed Azam Husain Azam
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
shahr me.n saare charaaGo.n kii ziyaa KHaamosh hai
tiirgii har samt phailaa kar havaa KHaamosh hai
Ameer Imam
Sher
Wahab Danish
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Abdul Hamid
Sher
ai falak kuchh to asar husn-e-amal me.n hotaa
shiisha ik roz to vaa.iz ke baGal me.n hotaa
Haidar Ali Aatish
Sher
falak kaa thaal hii ham ne ulaT Daalaa zamii.n par
tumhaarii tarh kaa ko.ii sitaara Dhuu.nDne me.n