SEARCH RESULTS
Showing search results for "hijrat"
Sher MATCHES FOR "hijrat"
Sher
mujhe bhii lamha-e-hijrat ne kar diyaa taqsiim
nigaah ghar kii taraf hai qadam safar kii taraf
Shehpar Rasool
Sher
maut bar-haq hai to phir maut se Darnaa kaisaa
ek hijrat hii to hai naql-e-makaanii hii to hai
Tariq Matin
Sher
dard-e-hijrat ke sataa.e hu.e logo.n ko kahii.n
saaya-e-dar bhii nazar aa.e to ghar lagtaa hai
Bakhsh Layalpuri
Sher
yaado.n ke qaafile me.n udaasii thii ham-rikaab
hijrat me.n tere shahr se 'tanhaa' nahii.n ga.e
Masood Tanha
Sher
shikam kii aag liye phir rahii hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamaana hai.n ham kyaa hamaarii hijrat kyaa
Iftikhar Arif
Sher
mai.n bahut kamzor thaa is mulk me.n hijrat ke baad
par mujhe is mulk me.n kamzor-tar us ne kiyaa
Muneer Niyazi
Sher
har na.ii nasl ko ik taaza madiine kii talaash
saahibo ab ko.ii hijrat nahii.n hogii ham se
Iftikhar Arif
Sher
azaa.n pe qaid nahii.n bandish-e-namaaz nahii.n
hamaare paas to hijrat kaa bhii javaaz nahii.n
Anjum Khayali
Sher
shaaKH se TuuT ke patte ne ye dil me.n sochaa
kaun is tarah bhalaa maa.il-e-hijrat hogaa
Asad Badayuni
Sher
hijrat kii gha.Dii ham ne tire KHat ke alaava
bosiida kitaabo.n ko bhii saamaan me.n rakkhaa
Iftikhar Shafi
Sher
na ranj-e-hijrat thaa aur na shauq-e-safar thaa dil me.n
sab apne apne gunaah kaa bojh Dho rahe the
Jamal Ehsani
Sher
har taraf tuu nazar aataa hai jidhar jaataa huu.n
tere imkaan se hijrat nahii.n kar saktaa mai.n
Anjum Saleemi
Sher
jin ko zamiin diida-e-dil se aziiz thii
vo kam-nigaah log the hijrat na kar sake
Khaleel Tanveer
Sher
sunnat hai ko.ii hijrat-e-saanii bhalaa bataa.o
jaataa hai ko.ii apne madiine ko chho.D kar