SEARCH RESULTS
Showing search results for "hoshiyaarii"
Sher MATCHES FOR "hoshiyaarii"
Sher
hoshiyaarii dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ra.nj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
mirii nigaah me.n vo ri.nd hii nahii.n saaqii
jo hoshiyaarii o mastii me.n imtiyaaz kare
Allama Iqbal
Sher
luT ga.e ek hii a.ng.Daa.ii me.n aisaa bhii hu.aa
umr-bhar phirte rahe ban ke jo hoshiyaar bahut
Qais Rampuri
Sher
be-KHud bhii hai.n hoshiyaar bhii hai.n dekhne vaale
in mast nigaaho.n kii adaa aur hii kuchh hai
Abul Kalam Azad
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
haa.n aasmaan apnii bulandii se hoshiyaar
ab sar uThaa rahe hai.n kisii aastaa.n se ham
Josh Malihabadi
Sher
mai.n chup kha.Daa thaa ta'alluq me.n iKHtisaar jo thaa
usii ne baat banaa.ii vo hoshiyaar jo thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
asar na puuchhiye saaqii kii mast aa.nkho.n kaa
ye dekhiye ki ko.ii hoshyaar baaqii hai
Betab Azimabadi
Sher
Gash khaa ke 'daaG' yaar ke qadmo.n pe gir pa.Daa
behosh ne bhii kaam kiyaa hoshiyaar kaa
Dagh Dehlvi
Sher
rakh qadam hoshyaar ho kar ishq kii manzil me.n aah
jo hu.aa is raah me.n Gaafil Thikaane lag gayaa
Shah Naseer
Sher
mirii KHabar to kisii ko nahii.n magar 'aKHtar'
zamaana apne liye hoshiyaar kaisaa hai