SEARCH RESULTS
Showing search results for "husn-e-mah"
Sher MATCHES FOR "husn-e-mah"
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Ibn-e-Insha
Sher
nikle hai.n ghar se dekhne ko log maah-e-iid
aur dekhte hai.n abruu-e-KHamdaar kii taraf
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
Nomaan Shauque
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
KHalal-paziir hu.aa rabt-e-mehr-o-maah me.n vaqt
bataa ye tujh se judaa.ii kaa vaqt hai ki nahii.n
Aziz Hamid Madni
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
teG-e-abruu ke mujhe zaKHm-kuhan yaad aa.e
maah-e-nau ko bhii mai.n talvaar puraanii samjhaa
Muneer Shikohabadi
Sher
barso.n gul-e-KHurshiid o gul-e-maah ko dekhaa
taaza ko.ii dikhlaa.e hame.n charKH-e-kuhan phuul
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
ai rashk-e-maah raat ko muTThii na kholnaa
mehdii kaa chor haath se jaa.e na chhuuT ke
Muneer Shikohabadi
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
allaah-re sanam ye tirii KHud-numaa.iyaa.n
is husn-e-chand-roza pe itnaa Guruur ho
Khwaja Imami amani
Sher
KHvaan-e-falak pe ne.amat-e-alvaan hai kahaa.n
KHaalii hai.n mahr-o-maah kii dono rikaabiyaa.n