SEARCH RESULTS
Showing search results for "husn-e-naaz-aafrii.n"
Sher MATCHES FOR "husn-e-naaz-aafrii.n"
Sher
jalva-e-yaar dekh kar tuur pe Gash hu.e kaliim
aql-o-KHirad kaa kaam kyaa mahfil-e-husn-o-naaz me.n
Anwar Saharanpuri
Sher
dil arsh-gaah-e-husn hai dil jalva-gaah-e-naaz
ye aap hii kaa ghar hai hamaarii guzar kahaa.n
Abrar Shahjahanpuri
Sher
husn-e-KHud-bii.n ko hu.aa aur sivaa naaz-e-hijaab
shauq jab had se ba.Dhaa chashm-e-tamaashaa.ii kaa
Dil Shahjahanpuri
Sher
KHatm ho jaate jo husn o ishq ke naaz o adaa
shaa.erii bhii KHatm ho jaatii nubuvvat kii tarah
Safi Lakhnavi
Sher
Unknown
Sher
bahkii bahkii nigah-e-naaz KHudaa KHair kare
husn me.n ishq ke andaaz KHudaa KHair kare
Manzar Lakhnavi
Sher
naaz ne phir kiyaa aaGaaz vo andaaz-e-niyaaz
husn-e-jaa.n-soz ko phir soz kaa da.avaa hai vahii
Ghulam Bhik Nairang
Sher
kabhii na husn-o-mohabbat me.n ban sakii 'vaahid'
vo apne naaz me.n ham apne baa.nkpan me.n rahe
Wahid Premi
Sher
ruuh hai mahv-e-tamannaa husn hai mast-e-tarab
ik niyaaz-o-naaz kaa barpaa hai mahshar saamne
Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
Sher
qariib aa na sakaa mai.n tire magar KHush huu.n
ki meraa zikr tirii daastaa.n se duur nahii.n
Tishna Barelvi
Sher
Shah Naseer
Sher
duniyaa se 'yaas' jaane ko jii chaahtaa nahii.n
allaah re husn gulshan-e-naa-paa.edaar kaa
Yagana Changezi
Sher
mujhii ko parda-e-hastii me.n de rahaa hai fareb
vo husn jis ko kiyaa jalva-aafrii.n mai.n ne
Akhtar Ali Akhtar
Sher
tafriiq husn-o-ishq ke andaaz me.n na ho
lafzo.n me.n farq ho magar aavaaz me.n na ho
Manzar Lakhnavi
Sher
buraa na maaniyo mai.n puuchhtaa huu.n ai zaalim
ki be-kaso.n ke sataa.e se kuchh bhalaa bhii hai
Taban Abdul Hai
Sher
dil de na de magar ye tiraa husn-e-be-misaal
vaapas na kar faqiir ko aaKHir badan to hai
Nomaan Shauque
Sher
na paak hogaa kabhii husn o ishq kaa jhag.Daa
vo qissa hai ye ki jis kaa ko.ii gavaah nahii.n