SEARCH RESULTS
Showing search results for "husn-o-jamaal-e-yaar"
Sher MATCHES FOR "husn-o-jamaal-e-yaar"
Sher
husn-o-jamaal-o-ziist kii aaraa.ishe.n fuzuul
ishq-o-junuu.n kii aag jo dil me.n javaa.n na ho
Aleena Itrat
Sher
raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahkaa hu.aa hai aatish-e-gul se chaman tamaam
Hasrat Mohani
Sher
dekhaa jamaal-e-yaar to maKHmuur ho ga.e
be-KHud hai.n be-piye hii ye aisii sharaab hai
Meem Maroof Ashraf
Sher
Azhar Bakhsh Azhar
Sher
vahm ye tujh ko ajab hai ai jamaal-e-kam-numaa
jaise sab kuchh ho magar tuu diid ke qaabil na ho
Muneer Niyazi
Sher
ai jamaal-e-be-badal lekin adaa me.n be-ruKHii
ho ga.ii.n sadiyaa.n ki chashm-e-tishna terii muntazir
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
vo mel-jol husn o basiirat me.n ab kahaa.n
jo silsila thaa phuul kaa patthar se kaT gayaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
mujhe bhii fursat-e-nazzaara-e-jamaal na thii
aur us ko paas kisii aur ke bhii jaanaa thaa
Abrar Azmi
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
kuchh is tarah se faash hu.aa vo ki aa.ina
har aks raaz-e-husn-o-adaa tak pahu.nch gayaa
Shariq Jamal
Sher
mohabbat kii hame.n fursat nahii.n thii
jamaal-e-yaar ne chau.nkaa diyaa thaa
Neelma Naheed Durrani
Sher
chaman me.n gul ne jo kal daava-e-jamaal kiyaa
jamaal-e-yaar ne mu.nh us kaa KHuub laal kiyaa
Meer Taqi Meer
Sher
Gam-e-hayaat bhii aaGosh-e-husn-e-yaar me.n hai
ye vo KHizaa.n hai jo Duubii hu.ii bahaar me.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
aa.iina mujh ko dekh ke hairat-zada hu.aa
KHud hii jamaal-e-yaar kaa mai.n aa.ina hu.aa
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq