SEARCH RESULTS
Showing search results for "i-m-f"
Sher MATCHES FOR "i-m-f"
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
ajiib baat hai kiicha.D me.n lahlahaa.e ka.nval
phaTe puraane se jismo.n pe saj ke resham aa.e
Ibn-e-Safi
Sher
zaahid sambhal Guruur KHudaa ko nahii.n pasand
farsh-e-zamii.n pe paa.nv dimaaG aasmaan par
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ai KHudaa duniyaa pe ab qabza buto.n kaa chaahiye
ek ghar tere liye in sab ne KHaalii kar diyaa
Muztar Khairabadi
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
vahii.n pe jhaa.D ke uThte hai.n phir mataa’-e-hayaat
ki zindagii ko jahaa.n jis ke naam karte hai.n
Abida Karamat
Sher
ai 'zauq' vaqt naale ke rakh le jigar pe haath
varna jigar ko ro.egaa tuu dhar ke sar pe haath
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
tum aa ga.e ho to kuchh chaa.ndnii sii baate.n ho.n
zamii.n pe chaa.nd kahaa.n roz roz utartaa hai
Waseem Barelvi
Sher
me.araaj-e-aqiidat hai ki ta.aviiz kii suurat
baazuu pe ko.ii KHaak-e-vatan baa.ndhe hu.e hai
Anjum Barabankvi
Sher
bahr-e-ayaadat aa.e vo lekin qazaa ke saath
dam hii nikal gayaa miraa aavaaz-e-paa ke saath
Momin Khan Momin
Sher
zindagii firdaus-e-gum-gashta ko paa saktii nahii.n
maut hii aatii hai ye manzil dikhaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
dekh ai merii zabuu.n-haalii pe ha.nsne vaale
vaqt kii dhuup ne kis darja nikhaaraa mujh ko