SEARCH RESULTS
Showing search results for "ijtinaab"
Sher MATCHES FOR "ijtinaab"
Sher
tirii talaash hai yaa tujh se ijtinaab hai ye
ki roz ek na.e raaste pe chalte hai.n
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
kyaa jaane kyaa likhaa thaa use iztiraab me.n
qaasid kii laash aa.ii hai KHat ke javaab me.n
Momin Khan Momin
Sher
yuu.n bhii hazaaro.n laakho.n me.n tum intiKHaab ho
puuraa karo savaal to phir laa-javaab ho
Dagh Dehlvi
Sher
khultaa kisii pe kyuu.n mire dil kaa mo.aamla
shero.n ke intiKHaab ne rusvaa kiyaa mujhe
Mirza Ghalib
Sher
afsurdagii bhii husn hai taabindagii bhii husn
ham ko KHizaa.n ne tum ko sa.nvaaraa bahaar ne
Ijtiba Rizvi
Sher
ko.ii milaa hii nahii.n jis se haal-e-dil kahte
milaa to rah ga.e lafzo.n ke intiKHaab me.n ham
Aleena Itrat
Sher
laakho.n me.n intiKHaab ke qaabil banaa diyaa
jis dil ko tum ne dekh liyaa dil banaa diyaa
Jigar Moradabadi
Sher
kyaa kyaa fareb dil ko diye iztiraab me.n
un kii taraf se aap likhe KHat javaab me.n
Dagh Dehlvi
Sher
mohabbat ek taraf se mazaa nahii.n detii
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
zabaa.n se dil kaa fasaana adaa kiyaa na gayaa
ye tarjumaa.n to banii thii magar banaa na gayaa
Ijtiba Rizvi
Sher
hazaar aarzuu ho tum yaqii.n ho tum gumaa.n ho tum
qafas-nasiib ruuh kii umiid-e-aashiyaa.n ho tum
Ijtiba Rizvi
Sher
mai.n ta.ng huu.n sukuun se ab iztiraab de
be-intihaa sukuun bhii aazaar hii to hai
Wamiq Jaunpuri
Sher
dekhe baGair haal ye hai iztiraab kaa
kyaa jaane kyaa ho parda jo uTThe naqaab kaa
Safi Lakhnavi
Sher
me.n iztiraab ke aalam me.n raqs kartaa rahaa
kabhii Gubaar kii suurat kabhii dhu.aa.n ban kar
Afzal Allahabadi
Sher
aaKHir ta.Dap ta.Dap ke ye KHaamosh ho gayaa
dil ko sukuun mil hii gayaa iztiraab me.n