SEARCH RESULTS
Showing search results for "ilaaj-e-daa.imii"
Sher MATCHES FOR "ilaaj-e-daa.imii"
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
ilaaj-e-'aKHtar'-e-naa-kaam kyuu.n nahii.n mumkin
agar vo jii nahii.n saktaa to mar to saktaa hai
Akhtar Ansari
Sher
ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.n hai
ai chaaragaro dard ba.Dhaa kyuu.n nahii.n dete
Ahmad Faraz
Sher
ko.ii ilaaj-e-Gam-e-zindagii bataa vaa.iz
sune hu.e jo fasaane hai.n phir sunaa na mujhe
Akhtar Ziai
Sher
ilaaj-e-ahl-e-sitam chaahiye abhii se 'zafar'
abhii to sang zaraa faasle pe girte hai.n
Sabir Zafar
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
dil kii zamiin par mirii 'ishq hai dasht-e-daa.imii
hijr-o-visaal sab ke sab mausamiyaatii haadse
Miraash
Sher
yuu.n ilaaj-e-dil biimaar kiyaa jaa.egaa
sharbat-e-diid se sarshaar kiyaa jaa.egaa
Afzal Allahabadi
Sher
kis se ummiid kare.n ko.ii ilaaj-e-dil kii
chaaraagar bhii to bahut dard kaa maaraa niklaa
Lutf-ur-rahman
Sher
shahr talab kare agar tum se ilaaj-e-tiiragii
saahab-e-iKHtiyaar ho aag lagaa diyaa karo
Pirzada Qasim
Sher
doctor se mai.n ilaaj-e-dil karaane jab gayaa
mashvara us ne diyaa tuu sher kahnaa chho.D de
Zia-ul-Haq Qasmi
Sher
ilaaj-e-dil ke liye aur ab kahaa.n jaa.e.n
tumhaare shahr me.n sab kuchh milaa davaa ke sivaa
Zabt Ansari
Sher
'aalam' dil-e-asiir ko samjhaa.uu.n kis tarah
kam-baKHt e'tibaar ke qaabil nahii.n hai vo
Alam Khursheed
Sher
vo un kaa va.ada vo iifaa-e-ahd kaa aalam
ki yaad bhii nahii.n aataa hai bhuultaa bhii nahii.n