SEARCH RESULTS
Showing search results for "ilhaam"
Sher MATCHES FOR "ilhaam"
Sher
Naim Siddiqi
Sher
sher 'Gaalib' kaa nahii.n vahii ye tasliim magar
ba-KHudaa tum hii bataa do nahii.n lagtaa ilhaam
Mirza Ghalib
Sher
Liaqat Jafri
Sher
mai.n ne kab da.avaa-e-ilhaam kiyaa hai 'taabaa.n'
likh diyaa kartaa huu.n jo dil pe guzartii jaa.e
Ghulam Rabbani Taban
Sher
bandaa buto.n kaa kis ke kahe se hu.aa ye dil
haq kii taraf se kyaa use ilhaam kuchh hu.aa
Meer Hasan
Sher
ye miraa ilhaam hai vo mirii tadbiir hai
mai.n na junuu.n kaa asiir mai.n na KHirad kaa Gulaam
Saeed Ahmad Akhtar
Sher
kuchh KHabar detaa nahii.n us kii dil-e-aagah mujhe
vahii ke maanind ab mauquuf hai ilhaam kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
KHvaab utre hai.n mire zehn pe jaise ilhaam
kaun in KHvaabo.n se ta.abiir kii qiimat maa.nge
Ishaq Athar Siddiqui
Sher
tum mere liye ab ko.ii ilzaam na Dhuu.nDo
chaahaa thaa tumhe.n ik yahii ilzaam bahut hai
Sahir Ludhianvi
Sher
itne hijaabo.n par to ye aalam hai husn kaa
kyaa haal ho jo dekh le.n parda uThaa ke ham
Jigar Moradabadi
Sher
dil pe aa.e hu.e ilzaam se pahchaante hai.n
log ab mujh ko tire naam se pahchaante hai.n
Qateel Shifai
Sher
vaise to tumhii.n ne mujhe barbaad kiyaa hai
ilzaam kisii aur ke sar jaa.e to achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Habib Jalib
Sher
aarzuu hasrat aur ummiid shikaayat aa.nsuu
ik tiraa zikr thaa aur biich me.n kyaa kyaa niklaa
Sarwar Alam Raz
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
ho.nTo.n pe kabhii un ke miraa naam hii aa.e
aa.e to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aa.e
Ada Jafarey
Sher
Allama Iqbal
Sher
saaqii mujhe sharaab kii tohmat nahii.n pasand
mujh ko tirii nigaah kaa ilzaam chaahiye