SEARCH RESULTS
Showing search results for "illat-e-darmaa.ndagii"
Sher MATCHES FOR "illat-e-darmaa.ndagii"
Sher
jaa kar fanaa ke us taraf aasuuda mai.n hu.aa
mai.n aalam-e-adam me.n bhii dekhaa maza na thaa
Wali Uzlat
Sher
Wali Uzlat
Sher
'aalam' dil-e-asiir ko samjhaa.uu.n kis tarah
kam-baKHt e'tibaar ke qaabil nahii.n hai vo
Alam Khursheed
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
vo un kaa va.ada vo iifaa-e-ahd kaa aalam
ki yaad bhii nahii.n aataa hai bhuultaa bhii nahii.n
Alam Muzaffar Nagari
Sher
ko.ii ilaaj-e-Gam-e-zindagii bataa vaa.iz
sune hu.e jo fasaane hai.n phir sunaa na mujhe
Akhtar Ziai
Sher
ilaaj-e-ahl-e-sitam chaahiye abhii se 'zafar'
abhii to sang zaraa faasle pe girte hai.n
Sabir Zafar
Sher
lagtaa nahii.n hai dil miraa uj.De dayaar me.n
kis kii banii hai aalam-e-naa-paa.edaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
phirte hai.n 'miir' KHvaar ko.ii puuchhtaa nahii.n
is aashiqii me.n izzat-e-saadaat bhii ga.ii
Meer Taqi Meer
Sher
kis tarah duur ho.n aalaam-e-Gariib-ul-vatanii
zindagii KHud bhii Gariib-ul-vatanii hotii hai
Josh Malsiani
Sher
aalam-e-kaun-o-makaa.n naam hai viiraane kaa
paas vahshat nahii.n ghar duur hai diivaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
ilaaj-e-'aKHtar'-e-naa-kaam kyuu.n nahii.n mumkin
agar vo jii nahii.n saktaa to mar to saktaa hai
Akhtar Ansari
Sher
maa.ngne vaalo.n ko kyaa izzat o rusvaa.ii se
dene vaalo.n kii amiirii kaa bharam khultaa hai
Waheed Akhtar
Sher
is aalam-e-viiraa.n me.n kyaa anjuman-aaraa.ii
do roz kii mahfil hai ik umr kii tanhaa.ii