SEARCH RESULTS
Showing search results for "ilm-ul-kalaam"
Sher MATCHES FOR "ilm-ul-kalaam"
Sher
jab hu.aa garm-e-kalaam-e-muKHtasar mahkaa diyaa
itr khii.nchaa yaar ke lab ne gul-e-taqriir kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
phirtaa huu.n apnaa naqsh-e-qadam Dhuu.nDtaa hu.aa
le kar charaaG haath me.n vo bhii bujhaa hu.aa
Ali Ahmad Jalili
Sher
ik tajassus hu.aa kartaa hai bure kaam se qabl
ek pachhtaavaa bure kaam ke anjaam ke baad
Ali Ul-Hasnain
Sher
Raja Mehdi Ali Khan
Sher
kyaa ko.ii dil lagaa ke kahe sher ai 'qalaq'
naaqadrii-e-suKHan se hai.n ahl-e-suKHan udaas
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
aatii hai dhaar un ke karam se shu.uur me.n
dushman mile hai.n dost se behtar kabhii kabhii
Aale Ahmad Suroor
Sher
hamaaraa KHaak me.n milnaa bhii kaam aa hii gayaa
Gubaar ho ke sitaaro.n ke raaz-daa.n Thahre
Aale Ahmad Suroor
Sher
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
aalam-e-piirii me.n kyaa muu-e-siyah kaa e.atibaar
sub.h-e-saadiq detii hai jhuuTii gavaahii raat kii
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
tamaam umr kaTii us kii justujuu karte
ba.De dino.n me.n ye tarz-e-kalaam aayaa hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
Gam natiija hai KHushii kii intihaa kaa ai 'kaliim'
dil kii ik ik mauj mauj-e-shaadmaanii ho to kyaa
Kaleem Ahmadabadi
Sher
'azm' is shahr me.n ab aisii ko.ii aa.nkh nahii.n
girne vaale ko yahaa.n jis ne sambhalte dekhaa
Azm Bahzad
Sher
Azm Bahzad
Sher
ik 'umr tere saath chalaa bhii to kyaa milaa
ab sochtaa huu.n tujh se bichha.D kar hii dekh luu.n
Mehar Ali
Sher
haath aa.e karaamat ko kyaa aalam-e-faanii se
aaya hai bashar tanhaa jaa.egaa bashar KHaalii
Karamat Ali Karamat
Sher
ham to baiThe hii rahe apnii asiirii ko liye
ban.ne vaalaa kaam be-vahm-o-gumaa.n bantaa gayaa
Kaleem Ahmadabadi
Sher
hujuum-e-naaz me.n jalva-farebiyo.n ke sivaa
'kaliim' aur ko.ii haadisa hu.aa to nahii.n
Kaleem Ahmadabadi
Sher
ye maanaa vo 'aalam bhii thaa ek 'aalam
magar ab vo KHvaabo.n kaa 'aalam kahaa.n tak