SEARCH RESULTS
Showing search results for "inqilab ka ek din ebooks"
Sher MATCHES FOR "inqilab ka ek din ebooks"
Sher
duniyaa pe aisaa vaqt pa.Degaa ki ek din
insaan kii talaash me.n insaan jaa.egaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
kaun pa.Dhtaa hai yahaa.n khol ke ab dil kii kitaab
ab to chehre ko hii aKHbaar kiyaa jaanaa hai
Rajesh Reddy
Sher
Akbar Hyderabadi
Sher
na vaa.iz hajv kar ek din duniyaa se jaanaa hai
are mu.nh saaqi-e-kausar ko bhii aaKHir dikhaanaa hai
Ameer Minai
Sher
Tuk.De ka.ii ik dil ke mai.n aapas me.n siye hai.n
phir sub.h talak rone ke asbaab kiye hai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
tuu mujhe ta.ng na kar a dil-e-aavaara-mizaaj
tujh ko is shahr me.n laanaa hii nahii.n chaahiye thaa
Afzal Khan
Sher
KHatm ho jaa.e.n jinhe.n dekh ke biimaari-e-dil
Dhuu.nD kar laa.e.n kahaa.n se vo masiihaa chehre
Jameel Malik
Sher
dekh lenaa ek din be-roz-gaarii kaa azaab
chhiin kar chehro.n kii saarii dilkashii le jaa.egaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
aa gayaa thaa ek din lab par jafaa.o.n kaa gilaa
aaj tak jab un se milte hai.n to sharmaate hai.n ham
Shafiq Jaunpuri
Sher
KHizaa.n kaa daur bhii aataa hai ek din 'kaifii'
sadaa-bahaar kahaa.n tak daraKHt rahte hai.n
Iqbal Kaifi
Sher
kaThin hai kaam to himmat se kaam le ai dil
bigaa.D kaam na mushkil samajh ke mushkil ko
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
puuchhaa agar kisii ne miraa aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyaar aah labo.n se nikal ga.ii
Mirza Raza Barq
Sher
in me.n lahuu jalaa ho hamaaraa ki jaan o dil
mahfil me.n kuchh charaaG farozaa.n hu.e to hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Wasif Dehlvi
Sher
lagtaa hai ki is dil me.n ko.ii qaid hai 'ashfaaq'
rone kii sadaa aatii hai yaado.n ke kha.nDar se
Ahmad Ashfaq
Sher
KHudaa kare ki khule ek din zamaane par
mirii kahaanii me.n jo isti.aara KHvaab kaa hai