SEARCH RESULTS
Showing search results for "intikhab"
Sher MATCHES FOR "intikhab"
Sher
yuu.n bhii hazaaro.n laakho.n me.n tum intiKHaab ho
puuraa karo savaal to phir laa-javaab ho
Dagh Dehlvi
Sher
khultaa kisii pe kyuu.n mire dil kaa mo.aamla
shero.n ke intiKHaab ne rusvaa kiyaa mujhe
Mirza Ghalib
Sher
ko.ii milaa hii nahii.n jis se haal-e-dil kahte
milaa to rah ga.e lafzo.n ke intiKHaab me.n ham
Aleena Itrat
Sher
laakho.n me.n intiKHaab ke qaabil banaa diyaa
jis dil ko tum ne dekh liyaa dil banaa diyaa
Jigar Moradabadi
Sher
apnii nigaah par bhii karuu.n e'tibaar kyaa
kis maan par kahuu.n vo miraa intiKHaab thaa
Yasmeen Hameed
Sher
isii tarah se agar chaahtaa rahaa paiham
suKHan-varii me.n mujhe intiKHaab kar degaa
Parveen Shakir
Sher
Ahsan Marahravi
Sher
'zafar' badal ke radiif aur tuu Gazal vo sunaa
ki jis kaa tujh se har ik sher intiKHaab hu.aa
Bahadur Shah Zafar
Sher
raste kaa intiKHaab zaruurii saa ho gayaa
ab iKHtitaam-e-baab zaruurii saa ho gayaa
Aitbar Sajid
Sher
juute ke intiKHaab ko masjid me.n jab ga.e
vo juutiyaa.n pa.Dii.n ki KHudaa yaad aa gayaa
Dilawar Figar
Sher
kisii ke dard-e-mohabbat ne umr bhar ke liye
KHudaa se maa.ng liyaa intiKHaab kar ke mujhe
Muztar Khairabadi
Sher
har siina aah hai tire paikaa.n kaa muntazir
ho intiKHaab ai nigah-e-yaar dekh kar
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
saanii nahii.n hai ko.ii na us kaa javaab hai
merii pasand hai jo miraa intiKHaab hai
Qaisar Afghani
Sher
saro.n se taaj ba.De jism se abaa.e.n ba.Dii
zamaane ham ne tiraa intiKHaab dekh liyaa