SEARCH RESULTS
Showing search results for "irshaad-e-huzuur"
Sher MATCHES FOR "irshaad-e-huzuur"
Sher
Arshad Kamal
Sher
havelii chho.Dne kaa vaqt aa gayaa 'arshad'
sutuu.n larazte hai.n aur chhat kii miTTii girtii hai
Arshad Abdul Hamid
Sher
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal
Bayan Meeruthi
Sher
ai qais-e-junuu.n-pesha 'inshaa' ko kabhii dekhaa
vahshii ho to aisaa ho rusvaa ho to aisaa ho
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
ham suufiyo.n kaa dono.n taraf se ziyaa.n hu.aa
irfaan-e-zaat bhii na hu.aa raat bhii ga.ii
Shuja Khaavar
Sher
raaz-e-haq faash hu.aa mujh pe bhii hote hote
KHud tak aa hii gayaa 'irfaan' bhaTaktaa hu.aa mai.n
Irfan Sattar
Sher
karo na hind me.n baat ittihaad-e-millat kii
ki is se hote hai.n amrikiyo.n ke kaan kha.De
Mukhtasar Azmi
Sher
kuud kar diivaar 'arshii' Gam gharo.n me.n aa base
anginat taa'viiz darvaazo.n pe laTke rah ga.e
Arshi Malik
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
pau phaTte hii 'riyaaz' jahaa.n KHuld ban gayaa
Gilmaan-e-mahr saath liye aa.ii huur-e-sub.h
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jazba-e-ishq salaamat hai to inshaa-allaah
kachche dhaage se chale aa.e.nge sarkaar ba.ndhe
Insha Allah Khan Insha
Sher
nazaakat us gul-e-raanaa kii dekhiyo 'inshaa'
nasiim-e-sub.h jo chhuu jaa.e rang ho mailaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
us sa.ng-dil ke hijr me.n chashmo.n ko apne aah
maanind-e-aabshaar kiyaa ham ne kyaa kiyaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
har-chand ki aasii huu.n pa ummat me.n huu.n us kii
jis kaa hai qadam arsh-e-mua.allaa se bhii baalaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
'inshaa' se shaiKH puuchhtaa hai kyaa salaah hai
tarGiib-e-baada dii hai mujhe ai javaa.n basant
Insha Allah Khan Insha
Sher
huuro.n kii talab aur mai o saaGar se hai nafrat
zaahid tire irfaan se kuchh bhuul hu.ii hai
Saghar Siddiqui
Sher
kam samajhte nahii.n ham KHuld se maiKHaane ko
diida-e-huur kahaa chaahiye paimaane ko