SEARCH RESULTS
Showing search results for "ismail merathi"
Sher MATCHES FOR "ismail merathi"
Sher
kyaa ho gayaa ise ki tujhe dekhtii nahii.n
jii chaahtaa hai aag lagaa duu.n nazar ko mai.n
Ismail Merathi
Sher
kabhii bhuul kar kisii se na karo suluuk aisaa
ki jo tum se ko.ii kartaa tumhe.n naagavaar hotaa
Ismail Merathi
Sher
Ismail Merathi
Sher
chhurii kaa tiir kaa talvaar kaa to ghaa.o bharaa
lagaa jo zaKHm zabaa.n kaa rahaa hamesha haraa
Ismail Merathi
Sher
taariif us KHudaa kii jis ne jahaa.n banaayaa
kaisii zamii.n banaa.ii kyaa aasmaa.n banaayaa
Ismail Merathi
Sher
hai aaj ruKH havaa kaa mu.aafiq to chal nikal
kal kii kise KHabar hai kidhar kii havaa chale
Ismail Merathi
Sher
aGyaar kyuu.n daKHiil hai.n bazm-e-suruur me.n
maanaa ki yaar kam hai.n par itne to kam nahii.n
Ismail Merathi
Sher
hai ashk-o-aah raas hamaare mizaaj ko
ya.anii pale hu.e isii aab-o-havaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
iz.haar-e-haal kaa bhii zariiya nahii.n rahaa
dil itnaa jal gayaa hai ki aa.nkho.n me.n nam nahii.n
Ismail Merathi
Sher
dariyaa kii tarah ravaa.n huu.n lekin
ab tak bhii vahii.n huu.n mai.n jahaa.n huu.n
Ismail Merathi
Sher
aaGaaz-e-ishq umr kaa anjaam ho gayaa
naakaamiyo.n ke Gam me.n miraa kaam ho gayaa