SEARCH RESULTS
Showing search results for "istia.aran"
Sher MATCHES FOR "istia.aran"
Sher
magar giraft me.n aataa nahii.n badan us kaa
KHayaal Dhuu.nDhtaa rahtaa hai isti.aara ko.ii
Irfan Siddiqi
Sher
ek musht-e-KHaak aur vo bhii havaa kii zad me.n hai
zindagii kii bebasii kaa isti.aara dekhnaa
Parveen Shakir
Sher
na us kaa ant hai ko.ii na isti.aara hai
ye daastaan hai hijr-o-visaal se baahar
Amjad Islam Amjad
Sher
na ha.nsne de na rone de na jiine de na marne de
isii ko istilaahan ham zamaana kahte aa.e hai.n
Arshad Kakvi
Sher
asiiraan-e-qafas par zulm to sayyaad karte hai.n
ki un ke par katar lete hai.n tab aazaad karte hai.n
Mohammad Naazir Ali Naazir
Sher
muddate.n qaid me.n guzrii.n magar ab tak sayyaad
ham asiiraan-e-qafas taaza giraftaar se hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Nooh Narvi
Sher
KHudaa kare ki khule ek din zamaane par
mirii kahaanii me.n jo isti.aara KHvaab kaa hai
Khurshid Rabbani
Sher
shaa.irii me.n anfus-o-aafaaq mub.ham hai.n abhii
isti.aara hii haqiiqat me.n KHudaa saa KHvaab hai
Kavish Badri
Sher
ko.ii ghar hii nahii.n to be-gharii kaa zaKHm kaisaa
sukuunat ke liye ik isti.aara Dhuu.nDte hai.n