SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaabir"
Sher MATCHES FOR "jaabir"
Sher
ye jabr bhii dekhaa hai taariiKH kii nazro.n ne
lamho.n ne KHataa kii thii sadiyo.n ne sazaa paa.ii
Muzaffar Razmi
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
shikan na Daal jabii.n par sharaab dete hu.e
ye muskuraatii hu.ii chiiz muskuraa ke pilaa
Abdul Hamid Adam
Sher
zindagii jabr-e-musalsal kii tarah kaaTii hai
jaane kis jurm kii paa.ii hai sazaa yaad nahii.n
Saghar Siddiqui
Sher
Allama Iqbal
Sher
Hasrat Mohani
Sher
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
zindagii jabr hai aur jabr ke aasaar nahii.n
haa.e is qaid ko zanjiir bhii darkaar nahii.n
Fani Badayuni
Sher
mujhe to un kii ibaadat pe rahm aataa hai
jabii.n ke saath jo sajde me.n dil jhukaa na sake
Khumar Barabankavi
Sher
jis din mirii jabii.n kisii dahliiz par jhuke
us din KHudaa shigaaf mire sar me.n Daal de
Kaif Bhopali
Sher
tum bhii karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhii kare.nge sabr magar iKHtiyaar tak
Mela Ram Wafa
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
daulat kaa falak to.D ke aalam kii jabii.n par
mazduur kii qismat ke sitaare nikal aa.e
Nushur Wahidi
Sher
hayaat aaj bhii kaniiz hai huzuur-e-jabr me.n
jo zindagii ko jiit le vo zindagii kaa mard hai