SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaada-e-amaa.n"
Sher MATCHES FOR "jaada-e-amaa.n"
Sher
maKHluuq ko tumhaarii mohabbat me.n ai buto
iimaan kaa KHayaal na islaam kaa lihaaz
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
jaada-e-raah-e-mohabbat kii daraazii mat puuchh
manzil-e-shauq kaa har zarra bayaabaa.n niklaa
Zafar Ahmad Siddiqi
Sher
ba-naam-e-amn-o-amaa.n kaun maaraa jaa.egaa
na jaane aaj yahaa.n kaun maaraa jaa.egaa
Naseem Sahar
Sher
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
jaa rahaa huu.n jis taraf le jaa rahaa hai dil mujhe
Jigar Moradabadi
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
daliil-e-taabish-e-iimaa.n hai kufr kaa ehsaas
charaaG shaam se pahle jalaa nahii.n karte
Shakeel Badayuni
Sher
Aziz Warsi
Sher
aql thak kar lauT aa.ii jaada-e-aalaam se
ab junuu.n aaGaaz farmaa.egaa is anjaam se
Amir Usmani
Sher
qadam qadam pe havaadis ne rahnumaa.ii kii
ravaa.n hai jaada-e-manzil pe kaarvaan-e-KHayaal
Yaqoob Usmani
Sher
dayaar-e-yaar kaa shaayad suraaG lag jaataa
judaa jo jaada-e-maqsuud se safar hotaa
Qalaq Merathi
Sher
Tariq Naeem
Sher
yahii hai ibaadat yahii diin o iimaa.n
ki kaam aa.e duniyaa me.n insaa.n ke insaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
zaahid ne miraa haasil-e-iimaa.n nahii.n dekhaa
ruKH par tirii zulfo.n ko pareshaa.n nahii.n dekhaa
Asghar Gondvi
Sher
chalo amn-o-amaa.n hai mai-kade me.n
vahii.n kuchh pal Thahar kar dekhte hai.n
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
fazaa ye amn-o-amaa.n kii sadaa rakhe.n qaa.em
suno ye farz tumhaaraa bhii hai hamaaraa bhii
Nusrat Mehdi
Sher
vaa.izo mai.n bhii tumhaarii hii tarah masjid me.n
bech duu.n daulat-e-iimaa.n to mazaa aa jaa.e