SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaafar"
Sher MATCHES FOR "jaafar"
Sher
Jafar Ali Hasrat
Sher
vatan ke jaa.n-nisaar hai.n vatan ke kaam aa.e.nge
ham is zamii.n ko ek roz aasmaa.n banaa.e.nge
Jafar Malihabadi
Sher
dilo.n me.n hubb-e-vatan hai agar to ek raho
nikhaarnaa ye chaman hai agar to ek raho
Jafar Malihabadi
Sher
ai vatan jab bhii sar-e-dasht ko.ii phuul khilaa
dekh kar tere shahiido.n kii nishaanii royaa
Jafar Tahir
Sher
ai ahl-e-vatan shaam-o-sahar jaagte rahnaa
aGyaar hai.n aamaada-e-shar jaagte rahnaa
Jafar Malihabadi
Sher
aapas kii guftuguu me.n bhii kaTne lagii zabaa.n
ab dosto.n se tark-e-mulaaqaat chaahiye
Jafar Tahir
Sher
ishq me.n nisbat nahii.n bulbul ko parvaane ke saath
vasl me.n vo jaan de ye hijr me.n jiitii rahe
Jafar Ali Khan Zaki
Sher
nii.nd aatii hii nahii.n thii aagahii ke dard se
maut ne aaGosh me.n le kar sulaayaa hai mujhe
Dr. Jafar Askari
Sher
banaanaa hai hame.n ab apne haatho.n apnii qismat ko
hame.n apne vatan kaa aap be.Daa paar karnaa hai
Jafar Malihabadi
Sher
'taahir' KHudaa kii raah me.n dushvaariyaa.n sahii
ishq-e-butaa.n me.n kaun sii aasaaniyaa.n rahii.n
Jafar Tahir
Sher
uTThii thii pahlii baar jidhar chashm-e-aarzuu
vo log phir mile na vo bastii nazar pa.Dii
Jafar Tahir
Sher
jab bhii dekhii hai kisii chehre pe ik taaza bahaar
dekh kar mai.n tirii tasviir puraanii royaa
Jafar Tahir
Sher
tujhe bhii dekh liyaa ham ne o KHudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhii to ahl-e-Gam pe chalaa
Jafar Tahir
Sher
naaz har but ke uThaa paa.e na 'jaafar-taahir'
chuum kar chho.D diye ham ne ye bhaarii patthar