SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaam-e-sifaal-o-jaam-e-jam"
Sher MATCHES FOR "jaam-e-sifaal-o-jaam-e-jam"
Sher
shukriya ai gardish-e-jaam-e-sharaab
mai.n bharii mahfil me.n tanhaa ho gayaa
Salam Machhli shahri
Sher
sarso.n jo phuulii diida-e-jaam-e-sharaab me.n
bint-ul-anab se karne lagaa shoKHiyaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
us vaqt mujh ko daavat-e-jaam-o-subuu milii
jis vaqt mai.n gunaah ke qaabil nahii.n rahaa
Saghar Khayyami
Sher
shauq-e-sharaab KHvaahish-e-jaam-o-subuu nahii.n
hai sab haraam jab se ki pahluu me.n tuu nahii.n
Naseem Dehlvi
Sher
kyuu.n jaam-e-sharaab-e-naab maa.nguu.n
saaqii kii nazar me.n kyaa nahii.n hai
Seemab Akbarabadi
Sher
gardish-e-miinaa-o-jaam dekhiye kab tak rahe
ham pe taqaazaa-e-haraam dekhiye kab tak rahe
Zehra Nigaah
Sher
ye tirii mast-nigaahii ye faroG-e-mai-o-jaam
aaj saaqii tire rindo.n se adab mushkil hai
Bahauddin Kaleem
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
aur baazaar se le aa.e agar TuuT gayaa
saaGar-e-jam se miraa jaam-e-sifaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
vo maah bhar ke jaam-e-mai-naab le gayaa
ik dam me.n aaftaab ko mahtaab le gayaa
Joshish Azimabadi
Sher
aap jaam-e-tishnagii bhar diijiye aGyaar kaa
aur yuu.n kiije hame.n auro.n se kam de diijiye
Mumtaz Iqbal
Sher
jaam-e-ishq pii chuke zindagii bhii jii chuke
ab 'hilaal' ghar chalo ab to shaam ho ga.ii
Hilal Fareed
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
jaam-e-sharaab ab to mire saamne na rakh
aa.nkho.n me.n nuur haath me.n jumbish kahaa.n hai ab
Akhtar Shahjahanpuri
Sher
jaam-e-aqiiq zard hai nargis ke haath me.n
taqsiim kar rahaa hai mai-e-arGavaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
mai.n thaa kisii kii yaad thii jaam-e-sharaab thaa
ye vo nashist thii jo sahar tak jamii rahii