SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaanib-e-manzil"
Sher MATCHES FOR "jaanib-e-manzil"
Sher
chalaa mai.n jaanib-e-manzil to ye hu.aa ma.aluum
yaqii.n gumaan me.n gum hai gumaa.n hai poshiida
Anwar Sadeed
Sher
mai.n akelaa hii chalaa thaa jaanib-e-manzil magar
log saath aate ga.e aur kaarvaa.n bantaa gayaa
Majrooh Sultanpuri
Sher
jaanib-e-kuucha-o-baazaar na dekhaa jaa.e
Gaur se shahr kaa kirdaar na dekhaa jaa.e
Makhmoor Saeedi
Sher
jaanib-e-raah-e-adam jo bhii sidhaare jaa.e.n
ain mumkin hai kisii roz pukaare jaa.e.n
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
KHaak aab-e-girya se aatish bujhe naa-chaar ham
jaanib-e-kuu-e-butaa.n juu.n baad-e-sarsar jaa.e.nge
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
mere talvo.n ke lahuu se hogii raushan har jihat
rah-ravaan-e-raah-e-manzil ho.nge shashdar dekhnaa
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
kufr-o-islaam ne maqsad ko pahu.nchne na diyaa
ka.aba-o-dair ko sa.ng-e-rah-e-manzil samjhaa
Muneer Shikohabadi
Sher
KHumaar-e-qurbat-e-manzil thaa naa-rasii kaa javaaz
galii me.n aa ke mai.n us kaa makaan bhuul gayaa
Anjum Khaleeq
Sher
Abhinandan Pandey
Sher
jaane ye tuu hai tiraa Gam hai ki dil kii vahshat
jaanib-e-koh-e-nidaa ko.ii bulaataa hai mujhe
Shariq Jamal
Sher
jaanib-e-maqtal ghasiiTaa jaa rahaa hai
mujh pe ye ilzaam hai mai.n aadmii huu.n
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
fikr-e-manzil hai na hosh-e-jaada-e-manzil mujhe
jaa rahaa huu.n jis taraf le jaa rahaa hai dil mujhe
Jigar Moradabadi
Sher
ye safar apnaa kahii.n jaanib-e-mahshar hii na ho
ham liye kis kaa janaaza hai.n ye ghar se nikle
Majid Siddiqui
Sher
jaras ne muzhda-e-manzil sunaa ke chau.nkaayaa
nikal chalaa thaa dabe paa.nv kaarvaa.n apnaa
Yagana Changezi
Sher
tum KHud hii chale aa.oge shaayad sar-e-manzil
ik raah nikaalii hai mirii dar-badarii ne
Shahab Sarmadi
Sher
jaanib-e-ka.aba tuu kyuu.n le gayaa but-KHaane se
mujh se diivaane ko ai ishq na bahkaanaa thaa