SEARCH RESULTS
Showing search results for "jabal"
Sher MATCHES FOR "jabal"
Sher
aate nazar hai.n dasht-o-jabal zard har taraf
hai ab ke saal aisii hai ai dostaa.n basant
Insha Allah Khan Insha
Sher
nayaa mazmuun laanaa kaaTnaa koh-o-jabal kaa hai
nahii.n ham sher kahte pesha-e-farhaad kahte hai.n
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
yaad rakhnaa hii mohabbat me.n nahii.n hai sab kuchh
bhuul jaanaa bhii ba.Dii baat hu.aa kartii hai
Jamal Ehsani
Sher
tire jamaal kii tasviir khii.nch duu.n lekin
zabaa.n me.n aa.nkh nahii.n aa.nkh me.n zabaan nahii.n
Jigar Moradabadi
Sher
Jamal Ehsani
Sher
tamaam raat nahaayaa thaa shahr baarish me.n
vo rang utar hii ga.e jo utarne vaale the
Jamal Ehsani
Sher
ishq kii choT kaa kuchh dil pe asar ho to sahii
dard kam ho yaa ziyaada ho magar ho to sahii
Jalal Lakhnavi
Sher
dil kii bisaat kyaa thii nigaah-e-jamaal me.n
ik aa.iina thaa TuuT gayaa dekh-bhaal me.n
Seemab Akbarabadi
Sher
zaraa visaal ke baa'd aa.ina to dekh ai dost
tire jamaal kii doshiizgii nikhar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
shab ko mai KHuub sii pii sub.h ko tauba kar lii
ri.nd ke ri.nd rahe haath se jannat na ga.ii
Jalal Lakhnavi
Sher
baat vo aadhii raat kii raat vo puure chaa.nd kii
chaa.nd bhii ain chait kaa us pe tiraa jamaal bhii
Parveen Shakir
Sher
Jamal Ehsani
Sher
ye Gam nahii.n hai ki ham dono.n ek ho na sake
ye ranj hai ki ko.ii darmiyaan me.n bhii na thaa
Jamal Ehsani
Sher
Jamal Ehsani
Sher
gurez-paa hai nayaa raasta kidhar jaa.e.n
chalo ki lauT ke ham apne apne ghar jaa.e.n