SEARCH RESULTS
Showing search results for "jalva-e-aaftaab"
Sher MATCHES FOR "jalva-e-aaftaab"
Sher
kin manzaro.n me.n mujh ko mahaknaa thaa 'aaftaab'
kis regzaar par huu.n mai.n aa kar khilaa hu.aa
Aftab Hussain
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
aa.nkho.n me.n liye jalva-e-naira.ng-e-tamaashaa
aa.ii hai KHizaa.n jashn-e-bahaaraa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
idhar bhii ik nazar ai jalva-e-rangiin-o-begaana
tuluu-e-maah kaa hai muntazir meraa siyah-KHaana
Ada Jafarey
Sher
vo jalva-e-sad-rang me.n ik Dha.ng se niklaa
jo misra tire siina-o-aaha.ng se niklaa
Mohammad Mustahsan Jami
Sher
tiraa shabaab rahe ham rahe.n sharaab rahe
ye daur aish kaa taa daur-e-aaftaab rahe
Jaleel Manikpuri
Sher
tirii talaash me.n mah kii tarah mai.n phirtaa huu.n
kahaa.n tuu raat ko ai aaftaab rahtaa hai
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kaun sii jaa hai jahaa.n jalva-e-maashuuq nahii.n
shauq-e-diidaar agar hai to nazar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
tarraar zulf-e-yaar agar charKH par cha.Dhe
sonaa utaar le varaq-e-aaftaab se
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
qafas me.n ho dil-e-bulbul shahiid-e-jalva-e-gul
KHizaa.n ne jo na kiyaa thaa vo ab bahaar kare
Hasrat Mohani
Sher
ham me.n hii aalam-e-akbar hu.e go jurm-e-saGiir
maz.har-e-jalva-e-haq hazrat-e-insaa.n hai.n ham
Meer Hasan
Sher
kisii ke haath me.n jaam-e-sharaab aayaa hai
ki maahtaab tah-e-aaftaab aayaa hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
ruKH-e-raushan se yuu.n uTThii naqaab aahista aahista
ki jaise ho tuluu-e-aaftaab aahista aahista
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
ai jalva-e-jaanaana phir aisii jhalak dikhlaa
hasrat bhii rahe baaqii armaa.n bhii nikal jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ai aaftaab haadii-e-kuu-e-nigaar ho
aa.e bhalaa kabhii to hamaare bhii kaam din