SEARCH RESULTS
Showing search results for "jalva.o.n"
Sher MATCHES FOR "jalva.o.n"
Sher
uqaabii ruuh jab bedaar hotii hai javaano.n me.n
nazar aatii hai un ko apnii manzil aasmaano.n me.n
Allama Iqbal
Sher
kaun sii jaa hai jahaa.n jalva-e-maashuuq nahii.n
shauq-e-diidaar agar hai to nazar paidaa kar
Ameer Minai
Sher
Adeem Hashmi
Sher
Shahryar
Sher
aa.iin-e-javaa.n-mardaa.n haq-go.ii o be-baakii
allaah ke shero.n ko aatii nahii.n ruubaahii
Allama Iqbal
Sher
javaa.n hone lage jab vo to ham se kar liyaa parda
hayaa yak-laKHt aa.ii aur shabaab aahista aahista
Ameer Minai
Sher
tere jalvo.n ne mujhe gher liyaa hai ai dost
ab to tanhaa.ii ke lamhe bhii hasii.n lagte hai.n
Seemab Akbarabadi
Sher
ye kyaa pa.Dii hai tujhe dil jalo.n me.n baiThne kii
ye umr to hai miyaa.n dosto.n me.n baiThne kii
aabid umar
Sher
dil-jalo.n se dil-lagii achchhii nahii.n
rone vaalo.n se ha.nsii achchhii nahii.n
Riyaz Khairabadi
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
Nida Fazli
Sher
ik raat dil-jalo.n ko ye aish-e-visaal de
phir chaahe aasmaan jahannam me.n Daal de
Jalal Lakhnavi
Sher
ai jalva-e-jaanaana phir aisii jhalak dikhlaa
hasrat bhii rahe baaqii armaa.n bhii nikal jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
charaaG-e-tuur jalaa.o ba.Daa a.ndheraa hai
zaraa naqaab uThaa.o ba.Daa a.ndheraa hai
Saghar Siddiqui
Sher
gudaaz-e-ishq nahii.n kam jo mai.n javaa.n na rahaa
vahii hai aag magar aag me.n dhu.aa.n na rahaa