SEARCH RESULTS
Showing search results for "jamiil"
Sher MATCHES FOR "jamiil"
Sher
ham se ko.ii ta.alluq-e-KHaatir to hai use
vo yaar baa-vafaa na sahii bevafaa to hai
Jameel Malik
Sher
ham to tamaam umr tirii hii adaa rahe
ye kyaa hu.aa ki phir bhii hamii.n bevafaa rahe
Jameel Malik
Sher
jalaane vaale jalaate hii hai.n charaaG aaKHir
ye kyaa kahaa ki havaa tez hai zamaane kii
Jameel Mazhari
Sher
kaise the log jin kii zabaano.n me.n nuur thaa
ab to tamaam jhuuT hai sachchaa.iyo.n me.n bhii
Jameel Malik
Sher
agar ye zid hai ki mujh se du.aa salaam na ho
to aisii raah se guzro jo raah-e-aam na ho
Jamill Murassapuri
Sher
Jameel Mazhari
Sher
sadiyo.n se zamaane kaa ye andaaz rahaa hai
saaya bhii judaa ho gayaa jab vaqt pa.Daa hai
Jamill Murassapuri
Sher
ab to tere husn kii har anjuman me.n dhuum hai
jis ne meraa haal dekhaa teraa diivaana hu.aa
Jameel Yusuf
Sher
ghar apnaa kisii aur kii nazro.n se na dekho
har tarah se uj.Daa hai magar phir bhii sajaa hai
Jamill Murassapuri
Sher
mai.n to tanhaa thaa magar tujh ko bhii tanhaa dekhaa
apnii tasviir ke piichhe tiraa chehraa dekhaa
Jameel Malik
Sher
dil kii qiimat to mohabbat ke sivaa kuchh bhii na thii
jo mile suurat-e-zebaa ke KHariidaar mile
Jameel Malik
Sher
KHatm ho jaa.e.n jinhe.n dekh ke biimaari-e-dil
Dhuu.nD kar laa.e.n kahaa.n se vo masiihaa chehre
Jameel Malik
Sher
Jameel Mazhari
Sher
yaa allahabad me.n rahiye jahaa.n sa.ngam bhii ho
yaa banaras me.n jahaa.n har ghaaT par sailaab hai