SEARCH RESULTS
Showing search results for "jarraar"
Sher MATCHES FOR "jarraar"
Sher
ajnabii buud-o-baash ke qurb-o-javaar me.n milaa
bichh.Daa to vo mujhe kisii aur dayaar me.n milaa
Javed Shaheen
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne mahmil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
ko.ii sadaa ko.ii aavaaza-e-jaras hii sahii
ko.ii bahaana ki ham jaa.n nisaar karte rahe.n
Kabir Ajmal
Sher
na sa.ng-e-miil na naqsh-e-qadam na baa.ng-e-jaras
bhaTak na jaa.e.n musaafir adam kii manzil ke
Yagana Changezi
Sher
ham bhii jaras kii tarah to is qaafile ke saath
naale jo kuchh bisaat me.n the so sunaa chale
Khwaja Meer Dard
Sher
naaz har but ke uThaa paa.e na 'jaafar-taahir'
chuum kar chho.D diye ham ne ye bhaarii patthar
Jafar Tahir
Sher
shab kii tanhaa.ii me.n ubhrii hu.ii aavaaz-e-jaras
sub.h-gaa.ii kaa gajar ho ye zaruurii to nahii.n
Habeeb Hashmi
Sher
kahii.n sadaa-e-jaras hai na gard-e-raah-e-safar
Thahar gayaa hai kahaa.n qaafila tamannaa kaa
Javed Shaheen
Sher
chalii bhii jaa jaras-e-Guncha kii sadaa pe nasiim
kahii.n to qaafila-e-nau-bahaar Thahregaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne manzil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
qaafila jaataa hai saaGar kii taraf rindo.n kaa
hai magar qulqul-e-miinaa jaras-e-jaam-e-sharaab
Sakhi Lakhnvi
Sher
jaras ne muzhda-e-manzil sunaa ke chau.nkaayaa
nikal chalaa thaa dabe paa.nv kaarvaa.n apnaa
Yagana Changezi
Sher
kise Dhuu.nDtaa huu.n mai.n apne qurb-o-javaar me.n
ai firaaq-e-sohbat-e-dostaa.n mujhe kyaa hu.aa
Faizi
Sher
fariyaad ko majnuu.n kii sune kaun jahaa.n ho.n
likkhuu.n dil-e-naalaa.n jaras-e-mahmil-e-lailaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mausam-e-gul kaa magar qaafila jaataa hai ki aaj
saare Guncho.n se jo aavaaz-e-jaras aatii hai