SEARCH RESULTS
Showing search results for "jashn-e-jazbaat"
Sher MATCHES FOR "jashn-e-jazbaat"
Sher
garmii-e-shiddat-e-jazbaat bataa detaa hai
dil to bhuulii hu.ii har baat bataa detaa hai
Baqa Baluch
Sher
Ameer Qazalbash
Sher
dil bhii lahuuluhaan hai aa.nkhe.n bhii hai.n udaas
shaayad anaa ne shah-rag-e-jazbaat kaaT dii
Tahir Faraz
Sher
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
bujhte hu.e charaaG farozaa.n kare.nge ham
tum aa.oge to jashn-e-charaaGaa.n kare.nge ham
Wasif Dehlvi
Sher
yaarab hazaar saal salaamat rahe.n huzuur
ho roz jashn-e-iid yahaa.n jaavedaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahruumii
phir us ke baad ko.ii ibtilaa nahii.n aa.ii
Ada Jafarey
Sher
sardii bhii KHatm ho ga.ii barsaat bhii ga.ii
aur is ke saath garmi-e-jazbaat bhii ga.ii
Shuja Khaavar
Sher
lafzo.n ke her-pher se bantii nahii.n Gazal
shero.n me.n tho.Dii garmi-e-jazbaat bhii to ho
Khan Hasnain Aqib
Sher
is jashn-e-charaaGaa.n se to behtar the a.ndhere
in jhuuTe charaaGo.n ko bujhaa kyuu.n nahii.n dete
Iqbal Azeem
Sher
ishq me.n Gairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
varna kyaa baat thii kis baat ne rone na diyaa
Sudarshan Faakir
Sher
uTho ki jashn-e-KHizaa.n ham manaa.e.n jii bhar ke
bahaar aa.e gulistaa.n me.n kab KHudaa jaane
Zehra Nigaah
Sher
Qabil Ajmeri
Sher
hai tiirgii se jang muqaabil aur apne saath
jugnuu kii saf hai jashn-e-charaaGaa.n nahii.n to kyaa