SEARCH RESULTS
Showing search results for "jazb-e-qala.ndaraana"
Sher MATCHES FOR "jazb-e-qala.ndaraana"
Sher
jazb-e-nigaah-e-sho.abada-gar dekhte rahe
duniyaa unhii.n kii thii vo jidhar dekhe rahe
Arzoo Lakhnavi
Sher
dilbarii jazb-e-mohabbat kaa karishma hai faqat
kuchh karaamat nahii.n jaaduu nahii.n e.ajaaz nahii.n
Ismail Merathi
Sher
ko.ii aasaan rifaaqat nahii.n likkhii mai.n ne
qurb ko jab bhii likhaa jazb-e-raqaabat likhkhaa
Azm Bahzad
Sher
itnaa to jazb-e-ishq ne baare asar kiyaa
us ko bhii ab malaal hai mere malaal kaa
Mirza Raza Barq
Sher
kyaa jazb-e-ishq mujh se ziyaada thaa Gair me.n
us kaa habiib us se judaa kyuu.n nahii.n hu.aa
Irfan Siddiqi
Sher
lailaa chalii thii haj ke liye jazb-e-ishq se
naaqa machal ke najd kii manzil me.n rah gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jis qadar jazb-e-mohabbat kaa asar hotaa gayaa
ishq KHud tark o talab se be-KHabar hotaa gayaa
Qamar Moradabadi
Sher
ye mere jazb-e-nihaa.n kaa hai mo.ajaza shaayad
ki dil me.n jhaa.nk ke dekhuu.n to tuu hii tuu nikle
Khawar Ludhianvi
Sher
dekh ye jazb-e-mohabbat kaa karishma to nahii.n
kal jo tere dil me.n thaa vo aaj mere dil me.n hai
Sarwar Alam Raz
Sher
Lala Kanji Mal Saba
Sher
jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aataa hai
mah-e-nau kii tarah khole hu.e aaGosh aataa hai
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
mirii zindagii kaa mahvar yahii soz-o-saaz-e-hastii
kabhii jazb-e-vaalhaana kabhii zabt-e-aarifaana
Farooq Banspari
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa