SEARCH RESULTS
Showing search results for "juz"
Sher MATCHES FOR "juz"
Sher
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Sher
juz tire ko.ii bhii din raat na jaane mere
tuu kahaa.n hai magar ai dost puraane mere
Ahmad Faraz
Sher
kuchh allahabad me.n saamaa.n nahii.n bahbuud ke
yaa.n dharaa kyaa hai ba-juz akbar ke aur amruud ke
Akbar Allahabadi
Sher
Sikandar Ali Wajd
Sher
ai dil-e-be-jur.at itnii bhii na kar be-jur.atii
juz sabaa us gul kaa is dam paasbaa.n ko.ii nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mah Laqa Chanda
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
juz be-KHudii guzar nahii.n kuu-e-habiib me.n
gum ho gayaa jo mai.n to milaa raasta mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
aisii havaa bahii ki hai chaaro.n taraf fasaad
juz saaya-e-KHudaa kahii.n daar-ul-amaa.n nahii.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
juz hamaare kaun aaKHir dekhtaa is kaam ko
ruuh ke andar ko.ii kaar-e-badan hotaa hu.aa
Salim Saleem
Sher
dekhnaa kam-nigahii kiijiyo mat ai saaqii
ba-juz-ushshaaq hai mai sab ko baraabar pahu.nche
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hai.n dair-o-haram me.n to bhare shaiKH-o-barahman
juz KHaana-e-dil kiijiye phir qasd kidhar kaa
Joshish Azimabadi
Sher
tujh hijr kii agan kuu.n buujhaane ai sang dil
ko.ii aab-zan-rafiiq ba-juz chashm-e-tar nahii.n