SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaa.nto"
Sher MATCHES FOR "kaa.nto"
Sher
na ham-safar na kisii ham-nashii.n se niklegaa
hamaare paa.nv kaa kaa.nTaa hamii.n se niklegaa
Rahat Indori
Sher
phuul to phuul hai.n aa.nkho.n se ghire rahte hai.n
kaa.nTe be-kaar hifaazat me.n lage rahte hai.n
Waseem Barelvi
Sher
ham ne kaa.nTo.n ko bhii narmii se chhu.aa hai aksar
log bedard hai.n phuulo.n ko masal dete hai.n
Bismil Saeedi
Sher
Saba Afghani
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
Ummeed Fazli
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
kaa.nTo.n se dil lagaa.o jo taa-umr saath de.n
phuulo.n kaa kyaa jo saa.ns kii garmii na sah sake.n
Akhtar Shirani
Sher
Waseem Barelvi
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
ye phuul mujhe ko.ii viraasat me.n mile hai.n
tum ne miraa kaa.nTo.n bharaa bistar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
ye ik shajar ki jis pe na kaa.nTaa na phuul hai
saa.e me.n us ke baiTh ke ronaa fuzuul hai
Shahryar
Sher
kahaa.n milegii misaal merii sitamgarii kii
ki mai.n gulaabo.n ke zaKHm kaa.nTo.n se sii rahaa huu.n
Mohsin Naqvi
Sher
bahut hasiin sahii sohbate.n gulo.n kii magar
vo zindagii hai jo kaa.nTo.n ke darmiyaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Sher
kaa.nTo.n me.n ghire phuul ko chuum aa.egii lekin
titlii ke paro.n ko kabhii chhilte nahii.n dekhaa