SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaafar"
Sher MATCHES FOR "kaafar"
Sher
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na mu.nh lagaa
chhuTtii nahii.n hai mu.nh se ye kaafar lagii hu.ii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ka.abe me.n musalmaan ko kah dete hai.n kaafir
but-KHaane me.n kaafir ko bhii kaafar nahii.n kahte
Bismil Saeedi
Sher
had chaahiye sazaa me.n uquubat ke vaaste
aaKHir gunaahgaar huu.n kaafar nahii.n huu.n mai.n
Mirza Ghalib
Sher
na samjhaa umr guzrii us but-e-kaafar ko samjhaate
pighal kar mom ho jaataa agar patthar ko samjhaate
Dagh Dehlvi
Sher
chho.Duu.ngaa mai.n na us but-e-kaafir kaa puujnaa
chho.De na KHalq go mujhe kaafar kahe baGair
Mirza Ghalib
Sher
nafrat bhii usii se hai parastish bhii usii kii
is dil saa ko.ii ham ne to kaafar nahii.n dekhaa
Alamtaab Tishna
Sher
insaa.n kii KHvaahisho.n kii ko.ii intihaa nahii.n
do gaz zamii.n bhii chaahiye do gaz kafan ke baad
Kaifi Azmi
Sher
zaahid sharaab piine se kaafir hu.aa mai.n kyuu.n
kyaa De.Dh chulluu paanii me.n iimaan bah gayaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
sune jaate na the tum se mire din raat ke shikve
kafan sarkaa.o merii be-zabaanii dekhte jaa.o
Fani Badayuni
Sher
Anwar Shuoor
Sher
kaaGaz me.n dab ke mar ga.e kii.De kitaab ke
diivaana be-pa.Dhe-likhe mash.huur ho gayaa
Bashir Badr
Sher
ek ik baat me.n sachchaa.ii hai us kii lekin
apne va.ado.n se mukar jaane ko jii chaahtaa hai
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
baat niklegii to phir duur talak jaa.egii
log be-vaj.h udaasii kaa sabab puuchhe.nge
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
chaa.nd saa misra akelaa hai mire kaaGaz par
chhat pe aa jaa.o miraa sher mukammal kar do