SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaar-e-afzaa.ish-e-anvaar-e-sahar"
Sher MATCHES FOR "kaar-e-afzaa.ish-e-anvaar-e-sahar"
Sher
yuu.n ehtimaam-e-radd-e-sahar kar diyaa gayaa
har raushnii ko shahr-badar kar diyaa gayaa
Sattar Syed
Sher
jo log aa rahe hai.n tumhaare qariib-tar
mu.D kar vo suu-e-shaam-o-sahar dekhte nahii.n
Maya Khanna Raje Barelvi
Sher
laakh aaftaab paas se ho kar guzar ga.e
ham baiThe intizaar-e-sahar dekhte rahe
Jigar Moradabadi
Sher
aa.e hai.n log raat kii dahliiz phaa.nd kar
un ke liye naved-e-sahar honii chaahiye
Ata ul Haq Qasmi
Sher
KHat dekh kar miraa mire qaasid se yuu.n kahaa
kyaa gul nahii.n hu.aa vo charaaG-e-sahar hanuuz
Maatam Fazl Mohammad
Sher
chehre kii chaa.ndnii pe na itnaa bhii maan kar
vaqt-e-sahar tuu rang kabhii chaa.nd kaa bhii dekh
Murtaza Barlas
Sher
sadiyo.n tak ehtimaam-e-shab-e-hijr me.n rahe
sadiyo.n se intizaar-e-sahar kar rahe hai.n ham
Rais Amrohvi
Sher
kaar-e-zindagaanii ke shor-o-shar me.n muddat se
us ko bhuul jaane kaa ehtimaal rahtaa hai
Mustafa Shahab
Sher
kitne pur-haul a.ndhero.n se guzar kar ai dost
ham tire husn kii raKHshanda sahar tak pahu.nche
Nisar Itavi
Sher
tire KHayaal kii lau hii safar me.n kaam aa.ii
mire charaag to lagtaa thaa ro.e ab ro.e
Tariq Naeem
Sher
is kaar-e-numaayaa.n ke shaahid hai.n chaman vaale
gulshan me.n bahaaro.n ko laa.e the hamii.n pahle
Unwan Chishti
Sher
jab safar se lauT kar aa.e to kitnaa dukh hu.aa
is puraane baam par vo suurat-e-zebaa na thii
Muneer Niyazi
Sher
Saleem Ahmed
Sher
'mus.hafii' karb-o-balaa kaa safar aasaan nahii.n
sai.nka.Do.n basra-o-baGdaad me.n mar jaate hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Ahsan Shafiq
Sher
saham kar ai 'zafar' us shoKH kamaa.n-daar se kah
khii.nch kar dekh mire siine se tuu tiir na to.D