SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaar-gaah-e-duniyaa"
Sher MATCHES FOR "kaar-gaah-e-duniyaa"
Sher
kaar-gaah-e-duniyaa kii nestii bhii hastii hai
ik taraf uja.Dtii hai ek samt bastii hai
Yagana Changezi
Sher
dilo.n kii shiishagarii kaar-gah-e-hastii me.n
hunar ke zer o zabar se bhii TuuT saktii thii
Khaavar Jilani
Sher
kyaa KHuub tamaasha hai ye kaar-gah-e-hastii
har jism salaamat hai har zaat adhuurii hai
Ambareen Haseeb ambar
Sher
ye bhii mumkin hai ki is kaar-gah-e-dil me.n 'zafar'
kaam ko.ii kare aur naam kisii kaa lag jaa.e
Zafar Iqbal
Sher
yahii dil jis ko shikaayat hai giraa.n-jaanii kii
yahii dil kaar-gah-e-shiisha-giraa.n hotaa hai
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
u.Dte hu.e aate hai.n abhii sa.ng-e-tamannaa
aur kaar-gah-e-dil kii vahii shiishagarii hai
Shahzad Ahmad
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Unknown
Sher
Azeem Murtaza
Sher
ai Gam-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaano.n se tabii.at raah par laa.ii ga.ii
Sahir Ludhianvi
Sher
uThaa uThaa ke tire naaz ai Gam-e-duniyaa
KHud aap hii tirii aadat KHaraab kii ham ne
Tariq Naeem
Sher
zaraa sii der Thaharne de ai Gam-e-duniyaa
bulaa rahaa hai ko.ii baam se utar ke mujhe
Nasir Kazmi
Sher
kyaa tarjumaanii-e-Gam-e-duniyaa kare.n ki jab
fan me.n KHud apnaa Gam bhii samoyaa na jaa sakaa
Hasan Akbar Kamal
Sher
Tariq Naeem
Sher
tire suluuk kaa Gam sub.h-o-shaam kyaa karte
zaraa sii baat pe jiinaa haraam kyaa karte
Rais Siddiqui
Sher
Shakeel Jazib
Sher
mazra-e-duniyaa me.n daanaa hai to Dar kar haath Daal
ek din denaa hai tujh ko daane daane kaa hisaab