SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaarobaar"
Sher MATCHES FOR "kaarobaar"
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Bashir Badr
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
kab tak pa.De rahoge havaa.o.n ke haath me.n
kab tak chalegaa khokhle shabdo.n kaa kaarobaar
Adil Mansuri
Sher
bulbul ke kaarobaar pe hai.n KHanda-haa-e-gul
kahte hai.n jis ko ishq KHalal hai dimaaG kaa
Mirza Ghalib
Sher
Jan Nisar Akhtar
Sher
Bashar Nawaz
Sher
ye zindagii bhii ajab kaarobaar hai ki mujhe
KHushii hai paane kii ko.ii na ranj khone kaa
Javed Akhtar
Sher
ab mujh se kaarobaar kii haalat na puuchhiye
aa.iina bechtaa huu.n mai.n andho.n ke shahar me.n
Mahmood Sarosh
Sher
hai is anjuman me.n yaksaa.n adam o vajuud meraa
ki jo mai.n yahaa.n na hotaa yahii kaarobaar hotaa
Ismail Merathi
Sher
tere na ho sake to kisii ke na ho sake
ye kaarobaar-e-shauq mukarrar na ho sakaa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
is tarah bhii chalaa hai kabhii kaarobaar-e-shauq
ruuThe ko.ii to us ko manaa lenaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
dekhaa na kaarobaar-e-mohabbat kabhii 'hafiiz'
fursat kaa vaqt hii na diyaa kaarobaar ne
Hafeez Jalandhari
Sher
Mahmood Shaam
Sher
kaarobaar me.n ab ke KHasaara aur tarah kaa hai
kaam nahii.n ba.Dhtaa mazduurii ba.Dhtii jaatii hai