SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaasa-e-faGfuur"
Sher MATCHES FOR "kaasa-e-faGfuur"
Sher
likh kar muqatta.aat me.n dii.n un ko arziyaa.n
jo daa.ere the kaasa-e-dast-e-gadaa hu.e
Habeeb Moosavi
Sher
vo savaal-e-lutf par patthar na barsaa.e.n to kyuu.n
un ko parvaa-e-shikast-e-kaasa-e-saa.il nahii.n
Saghar Nizami
Sher
qanaa.at us kii nikaltii hai vaazhguunii me.n
gadaa hai bahr agar kaasa-e-habaab phire
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jo bhiik maa.ngte hu.e bachche ke paas thaa
us kaasa-e-savaal ne sone nahii.n diyaa
Rehana Roohi
Sher
ishq me.n shikva kufr hai aur har iltijaa haraam
to.D de kaasa-e-muraad ishq gadaagarii nahii.n
Asar Rampuri
Sher
dast-e-du.aa ko kaasa-e-saa.il samajhte ho
tum dost ho to kyuu.n nahii.n mushkil samajhte ho
Saleem Kausar
Sher
kaasa-e-dard liye kab se kha.De sochte hai.n
dast-e-imkaan se kyaa chiiz na jaane nikle
Zafar Ajmi
Sher
huzuur-e-husn ye dil kaasa-e-gadaa.ii hai
huu.n vo faqiir jise bhiik bhii na de ko.ii
Shahzad Ahmad
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
jism ik roz miraa KHaak me.n pinhaa.n hogaa
kaasa-e-sar miraa sa.ng-e-rah-e-tiflaa.n hogaa
Shukr
Sher
us bevafaa se kar ke vafaa mar-miTaa 'razaa'
ik qissa-e-taviil kaa ye iKHtisaar hai
Aal-e-Raza Raza
Sher
kisii ko qissa-e-paakii-e-chashm yaad nahii.n
ye aa.nhke.n kaun sii barsaat me.n nahaa.ii thii.n