SEARCH RESULTS
Showing search results for "kafan-chor"
Sher MATCHES FOR "kafan-chor"
Sher
diyaa hai naam kafan-chor jab se tum ne mujhe
puraanii qabro.n ke murde mirii talaash me.n hai.n
Pagal Adilabadi
Sher
jab chho.D gayaa thaa to kahaa.n chho.D gayaa thaa
lauTaa hai to lagtaa hai ki ab chho.D gayaa hai
Idris Azad
Sher
mai.n ne paayaa na ise shahr me.n na sahraa me.n
tuu ne le jaa ke mire dil ko kahaa.n chho.D diyaa
Meer Hasan
Sher
bol kis mo.D pe huu.n kashmakash-e-marg-o-hayaat
aise aalam me.n kahaa.n chho.D diyaa hai mujh ko
Mubarak Shamim
Sher
andhaa safar hai ziist kise chho.D de kahaa.n
uljhaa hu.aa saa KHvaab hai taabiir kyaa kare.n
Akram Naqqash
Sher
hotii kahaa.n hai dil se judaa dil kii aarzuu
jaataa kahaa.n hai sham.a ko parvaana chho.D kar
Jaleel Manikpuri
Sher
chalaa gayaa jo mujhe chho.D kar na jaane kahaa.n
mai.n us ke naam pe ye zindagii guzaaruu.n kyo.n
Seema Naqvi
Sher
dard-e-dil chho.D jaa.iye so kahaa.n
apnii baahar to yahaa.n guzar hii nahii.n
Syed Mohammad Meer Asar
Sher
tuu chho.D ab to asiir-e-qafas ko ai sayyaad
kalii chaTakne lagii mausam-e-gulaab aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Sifar Sharma
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
kahiyo sabaa salaam hamaaraa bahaar se
ham to chaman ko chho.D ke suu-e-qafas chale
Mohammad Rafi Sauda
Sher
kahaa.n hai shaiKH ko sudh-budh maziid piine kii
nasha utaar ga.e tiin chaar jaam us kaa
Anwar Shuoor
Sher
rakhkhuu.n kahaa.n mai.n apne parii-zaad ko 'hasan'
shiisha jo ek dil kaa mire hai so chuur hai
Meer Hasan
Sher
Laxmi Narayan Shafiq
Sher
sun.ne vaale miraa qissa tujhe kyaa lagtaa hai
chor darvaaza kahaanii kaa khulaa lagtaa hai
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
sab ham-safiir chho.D ke tanhaa chale ga.e
kunj-e-qafas me.n mujh ko giraftaar dekh kar