SEARCH RESULTS
Showing search results for "kahne"
Sher MATCHES FOR "kahne"
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
kuchh bhii bachaa na kahne ko har baat ho ga.ii
aa.o kahii.n sharaab piye.n raat ho ga.ii
Nida Fazli
Sher
ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne me.n mujh ko zamaane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
mujhe dost kahne vaale zaraa dostii nibhaa de
ye mutaalba hai haq kaa ko.ii iltijaa nahii.n hai
Shakeel Badayuni
Sher
sab kuchh ham un se kah ga.e lekin ye ittifaaq
kahne kii thii jo baat vahii dil me.n rah ga.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
kahne detii nahii.n kuchh mu.nh se mohabbat merii
lab pe rah jaatii hai aa aa ke shikaayat merii
Dagh Dehlvi
Sher
kabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii hai
baat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii hai
Allama Iqbal
Sher
kahne ko to mai.n bhuul gayaa huu.n magar ai yaar
hai KHaana-e-dil me.n tirii tasviir abhii tak
Hasrat Mohani
Sher
dekhne aa.e the vo apnii mohabbat kaa asar
kahne ko ye hai ki aa.e hai.n ayaadat kar ke
Hasrat Mohani
Sher
dil se to har mo.aamla kar ke chale the saaf ham
kahne me.n un ke saamne baat badal badal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kahne ke liye ham bhii zabaa.n rakhte hai.n lekin
ye zarf hamaaraa hai ki ham kuchh nahii.n kahte
Siddiq Fatahpuri
Sher
kahte to ho yuu.n kahte yuu.n kahte jo vo aataa
ye kahne kii baate.n hai.n kuchh bhii na kahaa jaataa