SEARCH RESULTS
Showing search results for "kahtii"
Sher MATCHES FOR "kahtii"
Sher
naa-umiidii maut se kahtii hai apnaa kaam kar
aas kahtii hai Thahar KHat kaa javaab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
sun to sahii jahaa.n me.n hai teraa fasaana kyaa
kahtii hai tujh ko KHalq-e-KHudaa Gaa.ebaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
aql kahtii hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaa.iye
Mahirul Qadri
Sher
aashiq huu.n pa maashuuq-farebii hai miraa kaam
majnuu.n ko buraa kahtii hai lailaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
pyaas kahtii hai chalo ret nicho.Dii jaa.e
apne hisse me.n samundar nahii.n aane vaalaa
Meraj Faizabadi
Sher
tumhii.n to ho jise kahtii hai naaKHudaa duniyaa
bachaa sako to bachaa lo ki Duubtaa huu.n mai.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
aql ye kahtii hai duniyaa miltii hai baazaar me.n
dil magar ye kahtaa hai kuchh aur behtar dekhiye
Javed Akhtar
Sher
har zarra chamaktaa hai anvaar-e-ilaahii se
har saa.ns ye kahtii hai ham hai.n to KHudaa bhii hai
Akbar Allahabadi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Zameer Atraulvi
Sher
Abdul Hamid
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
jur.at-e-shauq to kyaa kuchh nahii.n kahtii lekin
paa.nv phailaane nahii.n detii hai chaadar mujh ko
Bismil Azimabadi
Sher
naqaab kahtii hai mai.n parda-e-qayaamat huu.n
agar yaqiin na ho dekh lo uThaa ke mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
zabaan-e-haal se ye lucknow kii KHaak kahtii hai
miTaayaa gardish-e-aflaak ne jaah-o-hasham meraa