SEARCH RESULTS
Showing search results for "kaifiyat-e-iztiraab"
Sher MATCHES FOR "kaifiyat-e-iztiraab"
Sher
vahii kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaa.n hai 'iqbaal'
na ko.ii rabt banaa aur na rishta TuuTaa
Iqbal Haider
Sher
kaifiyyat-e-chashm us kii mujhe yaad hai 'saudaa'
saaGar ko mire haath se liijo ki chalaa mai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
tumhaarii aa.nkh me.n kaifiyyat-e-KHumaar to hai
sharaab kaa na sahii nii.nd kaa asar hii sahii
Shahzad Ahmad
Sher
Ahtamam Sadiq
Sher
judaa.iyo.n kii KHalish us ne bhii na zaahir kii
chhupaa.e apne Gam o iztiraab mai.n ne bhii
Aitbar Sajid
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
aaj tak yaad hai kaifiyyat-e-jaa.n tere huzuur
sar se paa tak vo miraa dast-e-du.aa ho jaanaa
Shaz Tamkanat
Sher
aashob-e-iztiraab me.n khaTkaa jo hai to ye
Gam teraa mil na jaa.e Gam-e-rozgaar me.n
Iqbal Sohail
Sher
ab dard me.n vo kaifiyat-e-dard nahii.n hai
aayaa huu.n jo us bazm-e-gul-afshaa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
sukuun-e-iztiraab-e-Gam pe chaara-saaz to KHush hai.n
dil-e-betaab kii lekin qazaa ma.aluum hotii hai
Abdul Hai Aarfi
Sher
Abrar Shahjahanpuri
Sher
haasil hu.aa hai tujh ko mujhii se shu'uur-e-zaat
mai.n teraa aa.ina huu.n miraa ehtiraam kar
Shehla Kaleem
Sher
tum ne kis kaifiyat me.n muKHaatab kiyaa
kaif detaa rahaa lafz-e-'tuu' der tak
Ambareen Haseeb ambar
Sher
hijaab aa gayaa thaa mujh ko dil ke iztiraab par
yahii sabab hai tere dar pe lauT kar na aa sakaa
Ali Akbar Natiq
Sher
jaane ye hiddat chaman ko raas aa.e yaa nahii.n
aag jaisii kaifiyat hai KHushbu.o.n kii lahr me.n