SEARCH RESULTS
Showing search results for "kailaash"
Sher MATCHES FOR "kailaash"
Sher
tum bhii is shahr me.n ban jaa.oge patthar jaise
ha.nsne vaalaa yahaa.n ko.ii hai na rone vaalaa
Kailash Mahir
Sher
jaane kyaa soch ke ham tujh se vafaa karte hai.n
qarz hai pichhle janm kaa so adaa karte hai.n
Kailash Mahir
Sher
rishta-e-dard kii miiraas milii hai ham ko
ham tire naam pe jiine kii KHataa karte hai.n
Kailash Mahir
Sher
ham amn chaahte hai.n magar zulm ke KHilaaf
gar ja.ng laazmii hai to phir ja.ng hii sahii
Sahir Ludhianvi
Sher
ab dil kii tamannaa hai to ai kaash yahii ho
aa.nsuu kii jagah aa.nkh se hasrat nikal aa.e
Ahmad Faraz
Sher
kaash dekho kabhii TuuTe hu.e aa.iino.n ko
dil shikasta ho to phir apnaa paraayaa kyaa hai
Obaidullah Aleem
Sher
qubuul kaise karuu.n un kaa faisla ki ye log
mire KHilaaf hii meraa bayaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
mai.n aap apnii maut kii tayyaariyo.n me.n huu.n
mere KHilaaf aap kii saazish fuzuul hai
Shahid Zaki
Sher
Anwar Mirzapuri
Sher
kyuu.n khul ga.e logo.n pe mirii zaat ke asraar
ai kaash ki hotii mirii gahraa.ii zaraa aur
Aanis Moin
Sher
chaa.nd sii shakl jo allaah ne dii thii tum ko
kaash raushan mirii qismat kaa sitaaraa karte