SEARCH RESULTS
Showing search results for "kala.nk"
Sher MATCHES FOR "kala.nk"
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
ye mohabbat kii kahaanii nahii.n martii lekin
log kirdaar nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
vo chaa.nd hai to aks bhii paanii me.n aa.egaa
kirdaar KHud ubhar ke kahaanii me.n aa.egaa
Iqbal Sajid
Sher
aise rishte kaa bharam rakhnaa ko.ii khel nahii.n
teraa honaa bhii nahii.n aur tiraa kahlaanaa bhii
Waseem Barelvi
Sher
tuu kahaanii hii ke parde me.n bhalii lagtii hai
zindagii terii haqiiqat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
kahaanii likhte hu.e daastaa.n sunaate hu.e
vo so gayaa hai mujhe KHvaab se jagaate hu.e
Saleem Kausar
Sher
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
kahaanii KHatm hu.ii aur aisii KHatm hu.ii
ki log rone lage taaliyaa.n bajaate hu.e
Rehman Faris
Sher
anjaam ko pahu.nchuu.ngaa mai.n anjaam se pahle
KHud merii kahaanii bhii sunaa.egaa ko.ii aur
Aanis Moin
Sher
qabro.n me.n nahii.n ham ko kitaabo.n me.n utaaro
ham log mohabbat kii kahaanii me.n mare.n hai.n
Ejaaz tawakkal
Sher
javaanii kyaa hu.ii ik raat kii kahaanii hu.ii
badan puraanaa hu.aa ruuh bhii puraanii hu.ii