SEARCH RESULTS
Showing search results for "kalaf"
Sher MATCHES FOR "kalaf"
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
ham amn chaahte hai.n magar zulm ke KHilaaf
gar ja.ng laazmii hai to phir ja.ng hii sahii
Sahir Ludhianvi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
qubuul kaise karuu.n un kaa faisla ki ye log
mire KHilaaf hii meraa bayaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
vo KHush-kalaam hai aisaa ki us ke paas hame.n
taviil rahnaa bhii lagtaa hai muKHtasar rahnaa
Wazir Agha
Sher
mai.n aap apnii maut kii tayyaariyo.n me.n huu.n
mere KHilaaf aap kii saazish fuzuul hai
Shahid Zaki
Sher
Sarvat Husain
Sher
kuchh log to KHilaaf ho.n haasid ko.ii to ho
kyaa lutf siidhii saadii mohabbat me.n aa.egaa
Fazil Jafri
Sher
tanhaa vo aa.e.n jaa.e.n ye hai shaan ke KHilaaf
aanaa hayaa ke saath hai jaanaa adaa ke saath
Jaleel Manikpuri
Sher
vo habiib ho ki rahbar vo raqiib ho ki rahzan
jo dayaar-e-dil se guzre use ham-kalaam kar lo
Anwar Moazzam
Sher
Hasrat Mohani
Sher
bas ik KHataa kii musalsal sazaa abhii tak hai
mire KHilaaf miraa aa.iina abhii tak hai
Rais Siddiqui
Sher
be-KHud bhii hai.n hoshiyaar bhii hai.n dekhne vaale
in mast nigaaho.n kii adaa aur hii kuchh hai
Abul Kalam Azad
Sher
vo jo aa.nsu.o.n kii zabaan thii mujhe pii ga.ii
vo jo bebasii ke kalaam the mujhe khaa ga.e
Liyaqat Ali Aasim
Sher
sar par havaa-e-zulm chale sau jatan ke saath
apnii kulaah kaj hai usii baa.nkpan ke saath