SEARCH RESULTS
Showing search results for "kalejii"
Sher MATCHES FOR "kalejii"
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
dard aisaa hai ki jii chaahe hai zinda rahiye
zindagii aisii ki mar jaane ko jii chaahe hai
Kaleem Aajiz
Sher
zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majbuur the ham us se mohabbat bhii bahut thii
Kaleem Aajiz
Sher
ab ye bhii nahii.n Thiik ki har dard miTaa de.n
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
na jaane ruuTh ke baiThaa hai dil kaa chain kahaa.n
mile to us ko hamaaraa ko.ii salaam kahe
Kaleem Aajiz
Sher
daaman pe ko.ii chhii.nT na KHanjar pe ko.ii daaG
tum qatl karo ho ki karaamaat karo ho
Kaleem Aajiz
Sher
rakhnaa hai kahii.n paa.nv to rakkho ho kahii.n paa.nv
chalnaa zaraa aayaa hai to itraa.e chalo ho
Kaleem Aajiz
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
jis tarah ha.ns rahaa huu.n mai.n pii pii ke garm ashk
yuu.n duusraa ha.nse to kaleja nikal pa.De
Kaifi Azmi
Sher
ab apnaa iKHtiyaar hai chaahe jahaa.n chale.n
rahbar se apnii raah judaa kar chuke hai.n ham
Faiz Ahmad Faiz
Sher
aashiq kaa KHat hai pa.Dhnaa zaraa dekh-bhaal ke
kaaGaz pe rakh diyaa hai kaleja nikaal ke
Lala Rakha Ram Barq
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
Jaun Eliya
Sher
kuchh yaadgaar-e-shahr-e-sitamgar hii le chale.n
aa.e hai.n is galii me.n to patthar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
guzar jaa.e.nge jab din guzre aalam yaad aa.e.nge
hame.n tum yaad aa.oge tumhe.n ham yaad aa.e.nge