SEARCH RESULTS
Showing search results for "kamaan"
Sher MATCHES FOR "kamaan"
Sher
jaatii hai duur baat nikal kar zabaan se
phirtaa nahii.n vo tiir jo niklaa kamaan se
Muneer Shikohabadi
Sher
kisii dushman kaa ko.ii tiir na pahu.nchaa mujh tak
dekhnaa ab ke miraa dost kamaa.n khe.nchtaa hai
Ahmad Faraz
Sher
tuu ko.ii Gam hai to dil me.n jagah banaa apnii
tuu ik sadaa hai to ehsaas kii kamaa.n se nikal
Rajinder Manchanda Bani
Sher
hadaf bhii mujh ko banaanaa hai aur mere hariif
mujhii se tiir mujhii se kamaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
kamaan-e-shaaKH se gul kis hadaf ko jaate hai.n
nasheb-e-KHaak me.n jaa kar mujhe KHayaal aayaa
Afzal Ahmad Syed
Sher
tiraa hai kaam kamaa.n me.n use lagaane tak
ye tiir KHud hii chalaa jaa.egaa nishaane tak
Iftikhar Naseem
Sher
ye hai KHulaasa-e-ilm-e-qalandarii ki hayaat
KHada.ng-e-jasta hai lekin kamaa.n se duur nahii.n
Allama Iqbal
Sher
tiir o kamaan aap bhii 'mohsin' sambhaaliye
jab dostii kii aa.D me.n KHanjar dikhaa.ii de
Mohsin Zaidi
Sher
ne tiir kamaa.n me.n hai na sayyaad kamii.n me.n
goshe me.n qafas ke mujhe aaraam bahut hai
Mirza Ghalib
Sher
ye jaantaa hai palaT kar use nahii.n aanaa
vo apnii ziist kii khi.nchtii hu.ii kamaan me.n hai