SEARCH RESULTS
Showing search results for "kandhaa"
Sher MATCHES FOR "kandhaa"
Sher
Munawwar Rana
Sher
Zahid Fakhri
Sher
bulbul ke kaarobaar pe hai.n KHanda-haa-e-gul
kahte hai.n jis ko ishq KHalal hai dimaaG kaa
Mirza Ghalib
Sher
is qadar bhii to na jazbaat pe qaabuu rakkho
thak ga.e ho to mire kaa.ndhe pe baazuu rakkho
Iftikhar Naseem
Sher
tumhe.n manaane kaa mujh ko KHayaal kyaa aa.e
ki apne aap se ruuThaa hu.aa to mai.n bhii huu.n
Ashfaq Husain
Sher
sub.h le jaate hai.n ham apnaa janaaza ghar se
shaam ko phir use kaa.ndho.n pe uThaa laate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Sher
yuu.n terii rahguzar se diivaana-vaar guzre
kaa.ndhe pe apne rakh ke apnaa mazaar guzre
Meena Kumari Naz
Sher
apne kaa.ndho.n pe liye phirtaa huu.n apnii hii saliib
KHud mirii maut kaa maatam hai mire jiine me.n
Haneef Kaifi
Sher
phuul mahke.nge yuu.nhii chaa.nd yuu.nhii chamkegaa
tere hote hu.e manzar ko hasii.n rahnaa hai
Ashfaq Husain
Sher
mai.n apnii pyaas me.n khoyaa rahaa KHabar na hu.ii
qadam qadam pe vo dariyaa pukaartaa thaa mujhe
Ashfaq Husain
Sher
jo KHvaab kii dahliiz talak bhii nahii.n aayaa
aaj us se mulaaqaat kii suurat nikal aa.ii
Ashfaq Husain
Sher
kyuu.n shariik-e-Gam banaate ho kisii ko ai 'qatiil'
apnii suulii apne kaa.ndhe par uThaa.o chup raho
Qateel Shifai
Sher
mai.n 'zafar' taa-zindagii biktaa rahaa pardes me.n
apnii ghar-vaalii ko ik ka.ngan dilaane ke liye