SEARCH RESULTS
Showing search results for "karailaa"
Sher MATCHES FOR "karailaa"
Sher
mai.n chup karaataa huu.n har shab umaDtii baarish ko
magar ye roz ga.ii baat chhe.D detii hai
Gulzar
Sher
zamiin jab bhii hu.ii karbalaa hamaare liye
to aasmaan se utraa KHudaa hamaare liye
Obaidullah Aleem
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
phir karbalaa ke baa'd dikhaa.ii nahii.n diyaa
aisaa ko.ii bhii shaKHs ki pyaasaa kahe.n jise
Munawwar Rana
Sher
vaqaar-e-KHuun-e-shahiidaan-e-karbalaa kii qasam
yaziid morcha jiitaa hai ja.ng haaraa hai
Divakar Rahi
Sher
hujuum aisaa ki raahe.n nazar nahii.n aatii.n
nasiib aisaa ki ab tak to qaafila na hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
raabta laakh sahii qaafila-saalaar ke saath
ham ko chalnaa hai magar vaqt kii raftaar ke saath
Qateel Shifai
Sher
aa.nkho.n tak aa sakii na kabhii aa.nsu.o.n kii lahr
ye qaafila bhii naql-e-makaanii me.n kho gayaa
Abbas Tabish
Sher
raah-e-dil ko rau.nd kar aage nikal jaa.e.nge log
aa.nkh me.n uThtaa Gubaar-e-qaafila rah jaa.egaa
imtiyaz Khan
Sher
taa-qayaamat zikr se raushan rahegii ye zamii.n
zulmato.n kii shaam me.n ik raushnii hai karbalaa
Nuzhat Abbasi
Sher
hame.n jab apnaa ta.aaruf karaanaa pa.Dtaa hai
na jaane kitne dukho.n ko dabaanaa pa.Dtaa hai