SEARCH RESULTS
Showing search results for "karb-o-balaa"
Sher MATCHES FOR "karb-o-balaa"
Sher
'mus.hafii' karb-o-balaa kaa safar aasaan nahii.n
sai.nka.Do.n basra-o-baGdaad me.n mar jaate hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Mirza Rafeeq Shakir
Sher
phir masaa.il ke yaziid aa.e hai.n bai'at lene
garm phir ma.arka-e-karb-o-balaa hai mujh me.n
Mehboob Rahi
Sher
band kar baiThe ho ghar radd-e-balaa kii KHaatir
ek khi.Dkii to khulii rakhte havaa kii KHaatir
Jaleel Haider Lashari
Sher
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
kaun kitnaa zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko
rail jab chalne lagegii faisla ho jaa.egaa
Khwaja Sajid
Sher
ghaTe to jehl-e-murakkab ba.Dhe to karb-e-hayaat
ye aagahii bhii musiibat hai aadmii ke liye
Allama Talib Jauhari
Sher
Ashfaq Shaheen
Sher
kuchh chaa.ndnii udaas thii kuchh dil bhii thaa udaas
kal raat karb-e-zaat bhii had se sivaa hu.aa
Tasneem Abidi
Sher
ik karb-e-musalsal kii sazaa de.n to kise de.n
maqtal me.n hai.n jiine kii du.aa de.n to kise de.n
Aanis Moin
Sher
rok saktaa hame.n zindaan-e-balaa kyaa 'majruuh'
ham to aavaaz hai.n diivaar se chhan jaate hai.n
Majrooh Sultanpuri
Sher
shoKHii se Thahartii nahii.n qaatil kii nazar aaj
ye barq-e-balaa dekhiye girtii hai kidhar aaj
Dagh Dehlvi
Sher
kuchh der fikr aalam-e-baalaa kii chho.D do
is anjuman kaa raaz isii anjuman me.n hai
Asar Lakhnavi
Sher
hamaare ishq se dard-e-jahaa.n ibaarat hai
hamaaraa ishq havas se buland-o-baalaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
merii begam ne kabhii ye nahii.n sochaa aaKHir
''kis ke ghar jaa.egaa sailaab-e-balaa mere ba.ad''
Popular Meeruthi
Sher
aa.e hai bekasii-e-ishq pe ronaa 'Gaalib'
kis ke ghar jaa.egaa sailaab-e-balaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Sher
marne ke liye aa.e the ham dasht-e-balaa me.n
jiine kii du'aa de gayaa darvesh hame.n kyo.n
Aafreen Faheem Aafi
Sher
ye karbalaa hai nazr-e-balaa ham hu.e ki tum
naamuus-e-qaafila pe fidaa ham hu.e ki tum
Rais Amrohvi
Sher
ham-safiiro.n se sabaa kahiyo ki tum me.n bhii kabhii
ek din thaa ye giraftaar-e-balaa zamzama-sanj