SEARCH RESULTS
Showing search results for "karishma-saazii-e-husn-e-azal"
Sher MATCHES FOR "karishma-saazii-e-husn-e-azal"
Sher
hai KHayaal-e-husn me.n husn-e-amal kaa saa KHayaal
KHuld kaa ik dar hai merii gor ke andar khulaa
Mirza Ghalib
Sher
ai falak kuchh to asar husn-e-amal me.n hotaa
shiisha ik roz to vaa.iz ke baGal me.n hotaa
Haidar Ali Aatish
Sher
husn-e-amal me.n barkate.n hotii hai.n be-shumaar
patthar bhii to.Diye to saliiqe se to.Diye
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal kaa rang hai jaise misaal se baahar
Amjad Islam Amjad
Sher
husn-e-amal pe apne na bhuul is qadar ki shaiKH
vaa.n ke mu.aamle se kisii ko KHabar nahii.n
Nawal Rai Vafa
Sher
KHirad kaa naam junuu.n pa.D gayaa junuu.n kaa KHirad
jo chaahe aap kaa husn-e-karishma-saaz kare
Hasrat Mohani
Sher
KHushaamad taabedaarii minnat-o-KHidmat sujuud-e-husn
azal se diidanii hai bebasii-o-aajizii-e-ishq
Deepak Purohit
Sher
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
dil ki hai sarmaaya-daar-e-izzat o naamuus-e-husn
hai yahii markaz yahii hai daa.era mere liye
Maslihuddin Ahmad Aseer Kakorvi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Mahshar Inayati
Sher
kabhii na husn-o-mohabbat me.n ban sakii 'vaahid'
vo apne naaz me.n ham apne baa.nkpan me.n rahe
Wahid Premi
Sher
husn-e-dilkash ise kahte hai.n ki ham saarii umr
un ko dekhaa kiye diidaar kii hasrat na ga.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
shola-e-husn se thaa duud-e-dil apnaa avval
aag duniyaa me.n na aa.ii thii ki sozaa.n ham the
Taashshuq Lakhnavi
Sher
musta.id huu.n tire zulfo.n kii siyaahii le kar
safha-e-naama-e-aamaal kuu.n kaalaa karne