SEARCH RESULTS
Showing search results for "karnaa"
Sher MATCHES FOR "karnaa"
Sher
na ko.ii va.ada na ko.ii yaqii.n na ko.ii umiid
magar hame.n to tiraa intizaar karnaa thaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Waseem Barelvi
Sher
jaate ho KHudaa-haafiz haa.n itnii guzaarish hai
jab yaad ham aa jaa.e.n milne kii du.aa karnaa
Jaleel Manikpuri
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
hame.n bhii aaj hii karnaa thaa intizaar us kaa
use bhii aaj hii sab vaade bhuul jaane the
Aashufta Changezi
Sher
mai.n lauTne ke iraade se jaa rahaa huu.n magar
safar safar hai miraa intizaar mat karnaa
Sahil Sahri Nainitali
Sher
mirii zabaan ke mausam badalte rahte hai.n
mai.n aadmii huu.n miraa e'tibaar mat karnaa
Asim Wasti
Sher
aur is se pahle ki saabit ho jurm-e-KHaamoshii
ham apnii raa.e kaa iz.haar karnaa chaahte hai.n
Saleem Kausar
Sher
sirf ha.ngaama kha.Daa karnaa miraa maqsad nahii.n
merii koshish hai ki ye suurat badalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
dikhaavaa hii karnaa hai to phir ba.Daa kar
tuu shaa.ir nahii.n KHud ko aashiq kahaa kar